हालात ये कहते हैं के ज़माने के साथ चल
आसार ये हैं के क़यामत करीब है ..

42

Hindi |

mani_46_shayari.jpg

Mujhe khushboo ki taraha baat uraane wale
tujh mein pehlay to na the rang zamanay wale
apni aasteenon mein chupaye hue khanjar aaye
mujh se yaaron ki taraha haath milaane wale..

20

Urdu |

Zindagi to kab ki ho chuki khaamosh
dil to bas aadatan dhadakta hai..

01

Urdu |

Juda huye hain bahut log ik tum bhi sahi,
ab itni si baat pe kya zindagi haraam karein.. - Nasir Kazmi

20

Hindi |

mani_47_shayari.jpg

Haadse kya-kya tumhaari berukhi se ho gaye
saari duniya ke liye hum ajnabi se ho gaye

kuch tumhaare gesuon ki berehemi ne kar diye
kuch andhere mere ghar ki roshni se ho gaye

banda-parvar khul gayaa hai aastaanon ka bharam
aashnaa kuch log raaz-e-bandagi se ho gaye

gardish-e-dauraan zamaane ki nazar aankhon ki neend
kitne dushman ek rasm-e- dosti se ho gaye

yun to hum aagaah the sayaad ki tadabir se
hum asiir-e-dum-e-gul apni khushi se ho gaye

ab kahaan ae dost chashm-e-muntazir ki aabaru
ab to unke ahad-o-paimaan har kisi se ho gaye

har kadam "Sagar" nazar aane lagi hain manzilein
marhale kuch tae meri aavaaragi se ho gaye..

Details:
haadse = accidents/misfortunes
berukhi = indifference
gesu = hair
berehemi = disorder
aagaah = forewarned
sayaad = hunter
tadabir = arrangement
asiir = prisoner
chashm = eye
muntazir = waiting
ahad-o-paimaan = promises
marhale = difficult work/journey

10

Urdu |

Kya.milega tumhe dilo mein duriyan rakh kar
badi mukhtasar si hai zindagi haal to pooch liya karo..

33

Urdu |

Labon pe aa gai thi ek baat harf-e-haq ban kar,
khabar ye faeli jahan mein ke zuban daraaz hain hum..

40

Urdu |

Teri mehfil ke dastoor-e-dum
mujhe khamosh hi rehne de humdum
aisa na ho yeh chaman sulagne lage..

22

Urdu |

Woh mujhe bhoolne ki fikr mein hain
yeh meri fateh hai shikast nahi
baar baar apni wafaon ki kahani na suna
hum wafaon ke maulwi hain kharidaar nahi..

30

Urdu |

तुम मुखातिब भी हो, क़रीब भी हो
तुम को देखूं कि तुम से बात करूँ ..
- फ़िराक़ गोरखपुरी

Tum mukhaatib bhi ho, kareeb bhi ho
tum ko dekhun ki tum se baat karun..
- Firaq Gorakhpuri

20

Hindi |

shayari.jpg

Kisi tarang kisi serkhushi mein rehta tha
ye kal ki baat hai dil zindagi mein rehta tha
bas ek shaam khamoshi se toot gaya
humein jo maan teri dosti per rehta tha..

51

Urdu |

Recommended for You »

  1. Har Din Aata Hai Har Din Jata Hai Meri Dua Hai Rabb Se ..
  2. Teacher Why Are You Coming Late For The Class? Student Sir ..
  3. Waqt Jaisa Bhi Ho Achcha Ya Bura Badalta Zaroor Hai Isliye Achche ..
  4. Days Are Too Busy Hours Are Too Fast Seconds Are Too Few But ..
  5. इस शहर में बारिश नहीं होती धुँए जैसे बादल जाने ..
  6. Na Gila Hai Koi Halat Se Na Shikayat Kisi Ki Zaat ..
  7. When You Feel Lonely And Cannot See Anyone Around You When The ..
  8. Paane Se Khone Ka Mazaa Aur Hai Band Aankhon Mein Rone ..
  9. Son Dad When Did You Go To Egypt? Dad Never Son Then ..
  10. Tann Mein Masti Mann Mein Umang Chalo Aakaash Mein Daale Rang Ho ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.