10Yeh zindagi hai ke barish hai sangraizoon ki
main toot phoot gya iss mein mubtila ho kar..
Urdu |
20Maikhane mein jaam toot jata hai
ishq mein dil toot jaat hai
na jane kya rishta hai dono mein
jaam toote to ishq yaad aata hai
dil toote to jaam yaad aata hai..
Urdu |
30Us ko Chaha bhi to izhaar karna nahi aaya
Kat gai umar magar pyaar karna nahi aaya
Us ney manga bhi agar kuch to judaai mangi
Aur hum thay ke hum ko inkaar bhi karna nahi aaya..
Urdu |
40Chalti hai ab to saans bhi is ehtiyaat se
jaise guzar rahi ho kisi pul siraat se..
Urdu |
40Kabhi zindgi se gilla ker ke roe
kabhi maut ki hum dua ker ke roe
ajab silsila hay namaz-e- mohabbat
qaza ker ke roay, ada ker ke roay..
Urdu |
50Maangi thi dua aashiyane ki
chal padi aandhiya zamaane ki
mere gham koi na samajh saka
kyunki meri aadat thi MUSKURANE ki..
Urdu |
20Mujhe apni chaadar mein is tarah dhaanp lo
zameen asmaan kuch dikhaai na de
khuda aise ehsaas ka naam hai
rahe saamne aur dikhaai bhi na de..
Urdu |
163Main shikayat kyun karu
yeh to kismat ki baat hai.
teri soch mein bhi main nahi
mujhe lafz-lafz tu yaad hai..
Urdu |
41Ye toh nahi kay gham nahi
Haan magar aankh num nahi
Khushiyon ka dukaan-daar ye bola
Zinda ho, ye kiya kam nahi..?
Urdu |
10तेरे दौर ऐ रहबरी में यही सुबह शाम होगा
- Vikas Umrao
कहीं बस्तियां जलेंगी कहीं कत्ल ऐ आम होगा..।
Hindi |
30Hum jee rahe the unka naam lekar
woh guzarte the hamara salaam lekar
ek din woh keh gaye bhula do humko
humne poocha kaise
woh chale gaye haath mein jaam dekar..
Urdu |
10Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar,
tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar,
teri ankhon mein khud ko dhoondti hoon is liye shayed,
ke apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar,
takaa karti hoon tanha baith kar pehron jo phoolon ko,
tumhari un main hoti hai shabahat hu’bahuu aksar,
woh raaz dil jisey phoolon ki surat dil main rakha tha,
ussi ki to mehek phailli hai jaana, chaarsu aksar,
Sadaf! deen-e-wafaa ka dum to sab bharte hain lekin kyon,
issi ke naam par galiyon mein behtaa hai lahuu aksar..
- Sadaf Mirza
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Least Said Soonest Mended ..
- Phir Paish E Nazar Surat E Mehtab Hai Koi Ya Meri Nigahon Mein Naya Khawab ..
- Khuli Jo Aankhein To Manzar Ajeeb Tha Dard Tha Magar Woh ..
- संता बड़ी देर से अपने कमरे में कुछ ढूंढ़ रहा ..
- Wo Ashak Ban Ke Meri Chasm E Tar Mein Rehte Hain Ajeeb Shaks ..
- Zamaane Ki Har Jannat Aapke Liye Hogi Ye Aasmaa Ye Zameen ..
- Every Time You Come To My Mind I Realize I Am ..
- Quote On Self Respect I Don T Care If Anyone Doesn T Like Me Because I ..
- Mana Ki Is Zameen Ko Na Gulzaar Kar Sake Kuch Khaar ..
- Ye Raat Chaand Kiski Karni Per Roya Aansu Jhalke Subha Oos ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.