30Woh mujhe bhoolne ki fikr mein hain
yeh meri fateh hai shikast nahi
baar baar apni wafaon ki kahani na suna
hum wafaon ke maulwi hain kharidaar nahi..
Urdu |
01Ss ki qurbat main kuch nahi kaha maine
takti reh gai mujhko chandni sard raaton ki..
Urdu |
110Udasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
woh chaahta to mere saath chal bhi sakta tha,
woh shakhs ke jise tu ne, chhorrne mein jaldi ki,.
tere mizaaj ke saanche mein dhal bhi sakta tha,
woh jald-baaz khafa ho ke chal dia werna,
tamam maslon ka koi hal nikal bhi sakta tha,
anaa ne haath uthaane hi na diye werna,
meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha,
tamaam umer tera muntazir raha woh ek shaks,
yeh aur baat ki woh rassta badal bhi sakta tha..
Urdu |
10Meri har khata par naaraaz na hona
apni pyaari si muskan kabhi na khona
sukoon milta hai dekh kar aapki muskurahat ko
mujhe maut bhi aaye to bhi na rona..
Urdu |
10Hum mohabbat may bhi toheed ke kaayal rahe Faraz
Ek hi shaks ko mehboob banaye rakhaa..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
00Maikade se jo nikala meri tauba ne Jaleel
Muddaton sheesha-o-saaghir ne mujhe yaad kiya.. - Hafeez Jaleel Hasan Jaleel Lakhnavi
Urdu |
264जिस नजाकत से
ये लहरें मेरे पैरों को छूती हैं
यकीन नहीं होता
इन्होने कभी कश्तियाँ डुबोई होंगी..
Hindi |
30Bana diya hai zamaane ne dil ko patthar kaa
sataaye koii bhii mujh ko rula nahiin sakataa..
Urdu |
68373GHALIB
Read more by GHALIB..
Ghalib sharab peene de masjid mein baith kar
ya woh jagah bata jahan Khuda nahi.
ग़ालिब शराब पीने दे
मस्जिद में बैठ कर
या वो जगह बता
जहाँ खुदा नहीं ..
IQBAL
masjid Khuda ka ghar hai peene ki jagah nahi
Kafir ke dil mein jaa wahan Khuda nahi..
Faraz
Kafir ke dil se aaya hun yeh dekh kar Faraz
Khuda maujood hai wahan,
usay pata nahi..
WASI
Khuda to maujood dunia mein har jagah
Tu Jannat mein jaa, wahan peene se mana nahi..
SAQI
Peeta hun saqi, gam-e- duniya bhulaane ke liye
Jannat mein kaun sa gham hai, is liye waha maza nahi..
Urdu |
10Socha hai aaj phir Unki yaadon ko seene se lagaya jaye,
Yaad karke unki ankho ko, chehre ko, is dil ko behlaya jaye,
Rahenge Hosh main to yeh masroofiat hume unhe yaad karne nahi degi,
So madhosh hone ke liye aaj phir ik jaam uthaya jaaye..
Urdu |
00Hazaar tu rasm-o-raah chore, hazaar main zabt-e-shoq kar lu
magar mohabbat ka rabt-e-beham na tere bas mein, na mere bas mein..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- लाख कोशिश करूँ भूलने की मगर एक बात रह ..
- Catch This Everything Else Shall Follow ..
- Mindfulness Is Achieved When The Noise Dies ..
- Na Dekh Aasman Ko Itni Hasrat Se Ae Insaan Kisi Parindey Ne ..
- On Teacher S Day Santa Sends One SMS To His Teacher Master ..
- I May Not Be The Most Important Person In Your ..
- मिट्टी की दिये की लहराती लौ सहमी सी झिझकती काँपती या रोशन ..
- Achchi Hai Yaad Teri Achcha Hai Naam Tera Ae Door Rehne ..
- Life Is A Train Love Is A Pain Family Is A Chain Experience ..
- Ibaadat Gaah Ke Hajoom Se Na Dhoka Ho Rishi Suna Hai Malik E Do Jahan ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.