00Kiya sada dilee hai keh giriftaar-e- mohabbat
Karte hain qafas main par-o-parwaaz ki baatein..
Urdu |
60Udaas lamhon ka na koi malal rakhna
tufan mein bhi wajood sambhal rakhna
kisi ke liye shart-e- zindagi tum ho
kisi ki khatir hi apna khayal rakhna..
Urdu |
50Yun tera intezaar karta hun
jaise main tujhko yaad hun ab tak..
Urdu |
20Hum ek umar se wakif hain ab na samjhao
Ke lutaf kya mere meharbaan sitam ke hain..
Urdu |
31Jo ek lafz ki khushboo na rakh saka mehfooz
main uss ke hath main saari kitaab kya deta..
Urdu |
11Safar mein ain mumkin mein khud ko chor doon lekin
duaein karne walon ka sahara saath rehta hai
mere maula ne mujh ko chahton ki saltanat de di
magar pehli mohabbat ka khasara yaad rehta hai..
Urdu |
50Maangi thi dua aashiyane ki
chal padi aandhiya zamaane ki
mere gham koi na samajh saka
kyunki meri aadat thi MUSKURANE ki..
Urdu |
20Majrooh! Likh rahe hai voh ahl-e-vafa ka naam
Ham bhi khade huye hai gunahgaar ki tarah.. - Majrooh Sultanpuri
Urdu |
30Woh mujhe bhoolne ki fikr mein hain
yeh meri fateh hai shikast nahi
baar baar apni wafaon ki kahani na suna
hum wafaon ke maulwi hain kharidaar nahi..
Urdu |
11Bade wasooq se duniya fareb deti hai
bade khaloos se hum aitbar karte hain..
Urdu |
30Har lafz ko hakayat banaya
Har manzar mein tujhe paya
Khawaishon ke sahil par
Ek poudha yaadon ka lagaya
Phir bhi Tamaam umar humne
Apni rooh ko payasa paya..
Urdu |
00Maut apni na amal apna
kho gaya shorishe-geti mein karina apna
nakhuda door, hawa tez, karin kaame-nahang
waqt hai fenk de lehron mein safeena apna
arsa-e-dah ke hungaame tahe-khwaab sahi
garm rakh aatishe-pekaar se seena apna
saakiya ranj na kar jaag uthegi mehfil
aur kuch der utha rakhte hain peena apna
beshkeemat hain yeh gham haaye- mohabbat mat bhool
zulmate-yaas ko mat saunp khajeena apna.. - Faiz Ahmed FaizDetails:
Amal - work
shorishe-geti - hue and cry of the world
karina - method
nakhuda - driver of boat
karin - near
kaame-nahang - mouth of crocodile
safeena - boat
arsa-e-dah - span of life
tahe-khwaab - not visible due to sleep
aatishe-pekaar - fire of struggle
haaye-mohabbat - sorrow of love
zulmate-yaas - despair alike darkness
khajeena - treasure
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Dogs Have Owners Cats Have Staff ..
- If Friends Were Flowers I Would Not Pick You I Will ..
- Kis Raah Par Jana Hai Ye Kaun Janta Hai Kis Manzil ..
- Full Of Light Full Of Celebrations Full Of Joy And Full Of Colors May ..
- एक बार संता को उदास बैठा हुआ देख कर बंता ..
- गुलदस्ता मेरे हाथ में चेहरे पर मुस्कान ऐ जाने वाले ..
- Every Morning I Wake I Up And Ask Myself This Question ..
- We Often Say That Jo Chaahte Hain Woh Aasaani Se Kyun ..
- Isi Khayal Se Aansoo Chupaa Liye Humne Udaas Reh Ke Kisi ..
- My Father Gave Me The Greatest Gift Anyone Could Give Another ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.