40Humari saltanat mai zara soch ke kadam rakhna
humari muhabbat ki qaid mai zamaanat nahi hoti..
Urdu |
14Tum mujhe bhool jao to yeh haq hai tumko
meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai..
Urdu |
61उठ उठ के मस्जिदों से नमाज़ी चले गए,
दहशतगरों के हाथ में इस्लाम रह गया..
- निदा फाजली
Hindi |
30Har jurm meri zaat se mansoob hua hai
kya mere siwa shehar mein masoom hain saare..
Urdu |
20Hosla karte hain jeene ka magar hota nahi
zindagi ka yeh safar kyun mukhtasir hota hai
akal ka deewangi se wasta kesa bhala
ishq meri jaan kabhi soch kar hota nahi..
Urdu |
81Teri yaadein bhi tujh si zaalim hain Faraz
Jab dekhti hain tanha humein, sataane chali aati hain..
Urdu |
00Theher-theher ki bahut dilkusha hai yeh manzar,
zaraa main dekh to lu taabnaki-e-shamsheer..
- IqbalDetails:
taabnaki-e-shamsheer - shine of sword (talwaar ki chamak)
Urdu |
264जिस नजाकत से
ये लहरें मेरे पैरों को छूती हैं
यकीन नहीं होता
इन्होने कभी कश्तियाँ डुबोई होंगी..
Hindi |
20Majrooh! Likh rahe hai voh ahl-e-vafa ka naam
Ham bhi khade huye hai gunahgaar ki tarah.. - Majrooh Sultanpuri
Urdu |
10Mohabbaton ki ye waardatein koi sunega to kya kahega
yeh behki-behki humari baatein koi sunega to kya kahega
raqaabaton ki qayaamaton se khandarein tabdeel ho rahi hain
humari chaahat ki kaa-e-naatein koi sunega to kya kahega
tumhare khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne
yeh ankahi si tumhari baatein koi sunega to kya kahega
hum hi hain mazloom hum hi hain zaalim hum hi hain maqtool hum hi hain qaatil
hum hi hain mohre hum hi hain baesatein koi sunega to kya kahega
tere tasavvur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon mein
beghair dhole ki ye baaraatein koi sunega to kya kahega
Urdu |
30Us ko Chaha bhi to izhaar karna nahi aaya
Kat gai umar magar pyaar karna nahi aaya
Us ney manga bhi agar kuch to judaai mangi
Aur hum thay ke hum ko inkaar bhi karna nahi aaya..
Urdu |
10Yeh aise hi nahi ban jaate hain sher
aise hi nahi ho jaati hai shaayari
inke peeche hoti hain kuch unsuni kahaaniyan
hoti hain inke peeche kuch bebas zindgaaniyan..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Unko Khabar Hai Mere Toote Armaano Ki Aaj Zaroorat Padegi Kaanch ..
- When You Get To The Top Of The Mountain Keep Climbing ..
- The Taste Of Water Can Be Enjoyed Only When We Are ..
- होता इन्हें यकीन गर जन्नत में हूरों का ये वाइज़ ओ शेख कब ..
- Every Tear Is A Sign Of Onions Every Silence Is A Sign ..
- Deepawali The Festival Of Lights Gives You The Reason To Aspire For ..
- The Wise Are Wise Only Because They Love The Fool Are ..
- Wife I Am Firing Out The Driver Form Service Because It ..
- Phool Khile Kaliyaan Khili Waah Waah Phool Khile Kaliyaan Khili Ab Gulaab Ki Baari ..
- Shabd Barabar Dhan Nahi Jo Koi Jaane Bol Heera To ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.