00Meri nazar se tere roop ke allaow tak
Bichi hui hai anna baraf mosamon jaisi
Shakeel Faaslay katt bhi gaye tau kya haasil
Main beqaraar samandar woh saahilon jaisi..
Urdu |
30Hum jee rahe the unka naam lekar
woh guzarte the hamara salaam lekar
ek din woh keh gaye bhula do humko
humne poocha kaise
woh chale gaye haath mein jaam dekar..
Urdu |
30Kabhi fasl, kabhi marz ban ke aaye
yun badal-badal ke soorat, sitam aaye
shiddat-o-suku'n se seencha har boota humne
jaane fir kyun na gul aaye..
Urdu |
10Woh din.. woh mehfilein.. woh shagufta mijaaz log
Mouj-e-Zamana le gai jaane kahan-kahan..
Urdu |
11Main ek aansu hi sahi hun buhat anmool magar
yun palkon se laga kar mujhe matti mein na milaa..
Urdu |
30Sau phool kam hain dulhan ko sajaane ke liye
Ek phool kaafi hai kabar pe lagane ke liye
Sau khushiyan kam hain ek gham ko bhulaane ke liye
Ek gham kaafi hai saari umar rulaane ke liye..
Urdu |
20Adawat hai na nafrat hai khuda ke waaste aa jaa,
mujhe tujh se mohabbat hai khuda ke waaste aa jaa,
bina khusboo kisi gul ki koi keemat nahi hoti,
mujhe teri zarurat hai khuda ke waaste aa jaa,
kisi ko kaise doon main yeh bina teri ijaazat ke,
yeh dil teri amaanat hai khuda ke waaste aa jaa..
Hindi |
01इत्मीनान से देखिये
मैं तुम जैसा ही हूँ ..
Hindi |
00Duniya ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke..
Urdu |
20Haath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi woh jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzre hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hain rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi
Urdu |
10Tu mera dard jab barhata hai
jane kya dil sakoon pata hai
ishq main har asaasa lutt jaye
tab kahain jaa ke chain aata hai..
Urdu |
20Juda huye hain bahut log ik tum bhi sahi,
ab itni si baat pe kya zindagi haraam karein.. - Nasir Kazmi
Hindi |
♥ Recommended for You »
- It S A Horror Story Read It If You Are Dare ..
- If You Wait To Be Happy You Will Wait Forever If You ..
- Curiosity Killed The Cat ..
- Cello The Pen Of India Lux The Soap Of India Amul The ..
- Tu Nahi To Zindagi Mein Kya Reh Jaayega Dooor Tak Tanhaayion ..
- Boy To Other Boy Why You Are Flirting That Girl She ..
- If We Are Bound To Forgive An Enemy We Are Not ..
- Khwahisho Ke Kaafile Bhi Bade Ajeeb Hote Hai Kyonki Ye Guzarte Wahi Se ..
- Tabula Rasa Was I Before Landing At Thy Door Tabula Rasa ..
- Love Comes When Manipulation Stops; When You Think More About The ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.