20Kissi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aayi
Main ghar main sabse chota tha mere hisse meinn Maa aayi..
Urdu |
30Har lafz ko hakayat banaya
Har manzar mein tujhe paya
Khawaishon ke sahil par
Ek poudha yaadon ka lagaya
Phir bhi Tamaam umar humne
Apni rooh ko payasa paya..
Urdu |
20Mohabaat mukkadar hai ek khwab nahi
yeh wo adaa hai jis mein sab kaam-yaab nahi
jinhe panaah mili ungliyo pe gin lo unhe
jo katal hue unka kuch hisaab nahi..
Urdu |
40Utha ke phool ki patti nazakat say masal daali
Isharay say kaha hum dil ka aisa haal karte hain..
Urdu |
50Main Ne Dekha Hay Bahaaron Mein Chaman Ko Jalte
Hay Koi Khawaab Ki Taabeer Bataane Waala..
Urdu |
20Tu chaand hai is zameen ka aur main sooraj
yahi wajah hai ke apne darmiyaan doori hai
rok na mujhko dekh zidd na kar
teri chaandni ke liye mera doobna zaruri hai..
Urdu |
01Main ek aansu hi sahi hun buhat anmool magar
yun palkon se laga kar mujhe matti mein na milaa..
Urdu |
10Uss ne dekha hi nahi meri rooh ko choo kar warna
yun zakhmo ka na wo apne charchaa karta..
Urdu |
20Naakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya
itne hue zaleel ke khuddaar ho gaye..
Urdu |
20Haath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi woh jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzre hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hain rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi
Urdu |
10Takhallus hi kaafi hone chahiye
qabiliyat ka jaiza karne ke liye…. Sheikh Amirullah Tasleem Lakhnavi
Urdu |
40Qatl hua mera yun kishto mein reh-reh kar
- Tahir Khan
kabhi qaatil badal gaya
kabhi khanjar badal gaya..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Na Bottle Mein Na Jar Mein Na Hotel Mein Na Bar ..
- Whatever You Have In Your Mind Forget It Whatever You ..
- Workers Play Football Managers Play Tennis And CEOs Play Golf Higher You Go ..
- Ab Itni Night Ko Apun Tere Ko Kisi Movie Ki Kahani ..
- Every Tear Is A Sign Of Onions Every Silence Is A Sign ..
- मुमकिन नहीं की अपनी यादों ..
- Departures From One Place Turn Into Arrivals At Other May You Be ..
- Happiness Is Very Close To Us However We All Forger To ..
- उनकी फितरत अजब अनोखी है बन्दों के लिए अपने बन्दों पे ..
- Tenacity And Adversity Are Old Foes Chinese Proverb ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.