Tu mera dard jab barhata hai
jane kya dil sakoon pata hai
ishq main har asaasa lutt jaye
tab kahain jaa ke chain aata hai..

10

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Tumne nafart se jo dekha to mujhe yaad aaya
kaise bandhan teri khaatir yun hi tor aaya hun
kitne dhundle hain ye chehre jinhe apnaya hai
kitni ujli thi woh aankhen jinhen chor aaya hun..

04

Urdu |

Apne hone ka pata de dena
kabhi guzro to sada de dena
yaad aa jaaun ibaadat mein agar
haath utha ke bus dua de dena..

22

Urdu |

Kya bataun woh kitna badal gai,
jo roshni thi andhere mein dhal gai,
hum ek saath hi guzre the aag se,
main jal gaya woh bach ke nikal gai..

50

Hindi |

Naamaabar tu hi bataa tune to dekhe honge
kaise hote hain vo khat jinka jawaab aataa hai..

20

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Ek muddat se meri maa soi nahi Tabish
maine ek baar kaha tha mujhe darr lagta hai..

111

Urdu |

हुई शाम और हम आफ़ताब तलाशने चले
दिन की रौशनी में तो वो सबको दिखता है ..

60

Urdu |

Hone Deta

raaz zahir bhi ye mujh pe nahi hone deta..

khoof-e-ruswai se kar deta hai hairaan aise
meri aankho ko samandar nahi hone deta..

maum kar deta jab loot ke aa jaata hai
mujh ko furkat me woh patthar nahi hone deta..

dekhta hon tu kabhi chand, kabhi phool hai woh
apni soorat mujhay azbaar nahi hone deta..

jee me hai ar ke chala jao jaha rahta hai
woh mera ghar bhi mera ghar nahi hone deta..

jab bhi milta hai tu bas toot ke milta mujhay
apne gham ka mujhay khoghar nahi hone deta ..

rooth bhi jate hain Jafar tu manalene me
mujh ko apne se wo bahtar nahi hone deta..

10

Urdu |

Qaid tha dil mein tera hi dard ta-umar ke liye,
Mar rahi thi har aarzu dard ke is safar mein..

03

Urdu |

Mohabbat ki imaarat gir gayi hai
koi malbe pe baitha ro raha hai
hawa patton se sir takra rahi hai
tere jane ka maatam ho raha hai..

30

Urdu |

Aise zakhmon ka kya kare koi
jinko marham se aag lag jaye..

51

Urdu |

shayari.jpg

Bagaer jaane pehchane iqraar na kijiye
muskura kar dilo ko beqraar na kijiye
phool bhi de jaate hain zakham gehre kabhi kabhi
har phool par yun aetbar na kijiye..

30

Urdu |

Recommended for You »

  1. Ek Poet Garibi Se Tang Aa Kar Daku Ban Gaya Daketi ..
  2. Udhar Woh Bad Ghumaanee Hai Idhar Yeh Naatavaanee Hai Na Poocha Jaaye ..
  3. If We Open A Quarrel Between Past And Present We Shall ..
  4. Khushiyon Se Dil Ko Aabaad Kar Lena Aur Ghamo Ko Dil ..
  5. Sajjan Chale Gaye Ajj Karke Ohla Rabb Agge Ardaas Davin Yaaraan Nu Hosla ..
  6. Roothe Hi Rahein Mujhse Ye Manzoor Hai Lekin Yaaron Usse Samjhao ..
  7. Never Change Your Originality For The Sake Of Others Because It ..
  8. Young Generation Ko Sabse Zada Tention Kab Hoti Hai??? Jab Wo ..
  9. Medicines & Friendships Cure Our Problems The Only Difference Is That Friendships ..
  10. Prevention Is Better Than Cure ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.