12Dil ki dunya kuch is tarha ujri Aamir
usne dard ka aadi bana ke dard dena chor diya..
Urdu |
10Saath chalte kafile se is liye gafil raha,
manzilon ke baad bhi koi meri manzil raha.
woh masiha tha ya katil ya bewafa,
woh har ek surat mein pyaar ke kabil raha.
us se izhar-e- mohabbat kar na paye lab kabhi,
ek jara sa kaam tha umar bhar mushkil raha.
aap isko kya kahenge behisi ya badkismati,
doobne wale ke bilkul samne sahil raha.
ek mohabbat de na paya de gaya sau gham humein,
woh mera mehboob bhi kya dariya dil raha.Details:
Gafil - negligent/careless
Urdu |
20Ye hum tasleem karte hain hume fursat nahi milti
magar yeh bhi zara socho tumhain jab yaad karte hain zamaana bhool jaate hain..
Urdu |
20Naakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya
itne hue zaleel ke khuddaar ho gaye..
Urdu |
120Udasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
woh chaahta to mere saath chal bhi sakta tha,
woh shakhs ke jise tu ne, chhorrne mein jaldi ki,.
tere mizaaj ke saanche mein dhal bhi sakta tha,
woh jald-baaz khafa ho ke chal dia werna,
tamam maslon ka koi hal nikal bhi sakta tha,
anaa ne haath uthaane hi na diye werna,
meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha,
tamaam umer tera muntazir raha woh ek shaks,
yeh aur baat ki woh rassta badal bhi sakta tha..
Urdu |
30Hum sa aehl-e-dil tujhe kahan milega
jo tere sitam bhi sahe aur tujhe dua bhi de..
Urdu |
00Ginoo sab hasratein jo khoon hui hain tan ke maqtal mein
mere qaatil hisaab-e-khoon baha aise nahi hota..
Urdu |
40Bahaae ashk kyyn tumhare inhein rok lo khudaara
mujhe dukh kabool saare, yeh sitam nahi gawaara..
Urdu |
00Kiya sada dilee hai keh giriftaar-e- mohabbat
Karte hain qafas main par-o-parwaaz ki baatein..
Urdu |
130Tamaam umar mein har azaan ke baad
ik imtihaan se guzri hun main har imtihaan ke baad
khuda kare ke kahien aur gardish-e-takdeer
kise ka ghar na ujre mere makaan ke baad..
Urdu |
30Zaroori to nahi jeene ke liye sahara ho
zaroori to nahi hum jinke hain woh humara ho
kuch kashtiyan doob bhi jaya karti hain
zaroori to nahi har kashti ka kinara ho..
Urdu |
81Hum dushmano ko bhi Pakeeza saza dete hein
Haath uthate nahi, nazron se Gira dete hein..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Once There Was A CROW Uton Pendi C SNOW Crow Ne Peeti ..
- I Don T Care What You Think Of Me Unless You Think ..
- A Cute Question Kid Mom Kya Aapne Mujhe Paida Hone Se ..
- Chalti Hai Ab To Saans Bhi Is Ehtiyaat Se Jaise Guzar ..
- Jab Log Hi Jazbon Ki Touqeer Nahi Kerte Hum Bhi Koi ..
- Ek Muskaan Tu Mujhe Ek Baar De De Khwaab Mein Hi ..
- If It S Worth Doing It S Worth Doing Now ..
- Criticism May Not Be Agreeable But It Is Necessary It Fulfils ..
- She Was Not A Life But Lessons And Expectations Learn The Lessons ..
- Judge Why Are You Arrested ? Santa For Shopping Early Judge Well That’s ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.