Na pooch kitna lutf in musafaton mein hai
tera ghar ab bhi mere raston mein hai
sardiyon ki raat mein woh chaand dekhna
teri pasand ab bhi meri aadaton mein hai..

10

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Yaadon ke haashiye bhi ahem hain buhat Mohsin
deemak lagi kitaab ko aahisata kholiye..

20

Urdu |

Main neend ka shaukeen toh nahi, lekin
kuch khwaab na dekhu toh guzaara nahi hota..

41

Hindi |

Khote sikkon mein kar baithe yeh sauda rishi
unke chehre se nazar hati hi nahi..

00

Urdu |

Meri nazar se tere roop ke allaow tak
Bichi hui hai anna baraf mosamon jaisi
Shakeel Faaslay katt bhi gaye tau kya haasil
Main beqaraar samandar woh saahilon jaisi..

00

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Jaane kyun yeh kambakht nazar lag jaati hai
haseen raaton ke baad gham ki dhoop chaa jaati hai
kyun nahi thehar jaata hai yeh waqt us mod par
jahaan mere alfaazon se unke labo pe hansi aa jaati hai..

30

Urdu |

Ujaagar hua hai koi kab meri aankhon ke aage
woh din aur the jab tum saath the..

12

Hindi |

Dil ki dunya kuch is tarha ujri Aamir
usne dard ka aadi bana ke dard dena chor diya..

12

Urdu |

Mujhe pasand tha har jhooth usske honton se
Woh sach na bolta mujh se tau kitna accha tha..

20

Urdu |

Mere aaine mein ek shikast chehra hai
Munsif ke aas-paas ek ilzaam thehra hai

Bhanwar se jaan bachaake idhar aa gaye
Jahaan duur-duur tak bas ek sehra hai

Waar ko bhool jaayenge kisi roz, magar
Chot dil pe hai aur ghaav bhi gehra hai

Aankhon ki nami se dhundli hai nazar
Ya phir naseeb pe chhaaya kohra hai

Ab mere liye maqtal sajao
Suna hai qurbaaniyat ka anjaam sunehra hai.. - Anand Halve

Details:
shikast - defeated; Munsif - judiciary/judge; ilzaam - accusation

Bhanwar - whirlpool; Sehra - desert

Ghaav - wound

Kohra - mist, dhund

Maqtal - place of slaughter or execution

10

Urdu |

Kal shaam tere ghar qayam kis ka tha
na tha koi musfir to ehtmam kis ka tha
likh-likh choomti rahi jis ko raat bhar ankhen tumhaari
humein bhi batao woh naam kis ka tha
jis ko sun ke ro pare ehl-e-mehfil
itna bheegta hua anjam kis ka tha
humein pee ke hosh na raha saaqi
woh haath kis ka tha woh jaam kis ka tha..

30

Urdu |

shayari.jpg

Qatl hua mera yun kishto mein reh-reh kar
kabhi qaatil badal gaya
kabhi khanjar badal gaya..

- Tahir Khan
20

Urdu |

Recommended for You »

  1. Santa Why Do You Send Me Each Message Two Times ?? Banta ..
  2. Ho Aapki Life Me Khushiyon Ka Mela Kabhi Na Aaye Koi ..
  3. Life Never Seems To Be The Way We Want It But ..
  4. Husn Waale Khoob Wafaaon Ka Sila Dete Hain Har Mode Per ..
  5. Pride Comes Before Fall ..
  6. Aao Khelein Tum Hum Holi Laal Gulaabi Rango Waali Pyaar Se Bhar Dein ..
  7. God Is So Wise That He Created Friends Without A ..
  8. Yeh To Sach Hai Ke Sar E Koocha O Bazaar Bike Yeh Bhi Sach Hai ..
  9. Ek Poet Garibi Se Tang Aa Kar Daku Ban Gaya Daketi ..
  10. Hazaaron Dard Mand Milte Hain Kaam Ke Log Chand Milte Hain Jab Musibat ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.