22Sochta hun kabhi tere dil mein utar kar dekh loon
kaun basa hai tere dil mein jo mujhe basne nahi deta..
Urdu |
11Mujh se hogi nahi duniya yeh tijarat dil ki
main karun kya ke mera zehan hai khawabon waala..
Urdu |
00यह जो धुआं उठा है ख़ाक से
कह रहा भुजती आग से
हुस्न के दरवाज़े पे
दीवाने जलते रहेंगे ..🌷
Yeh jo dhuan utha hai khaak se
keh raha bhujti aag se
husn ke darwaaze pe
deewane jalte rahenge..
Hindi |
21Har tarike se bhulana chaha magar,
har khayal se paida, tera khayal hota hai..
Hindi |
50Tum milo na milo, milne ka gham nahi
tum pas say guzar jao, ye milne se kam nahi
mana ke tumhe, humari qadar nahi
magar un se poocho, jinhe haasil hum nahi..
Urdu |
10Kabr ki mitti utha ke le gaya koi
isi bahaane choo kar chala gaya koi
tanhai mein khush the hum to lekin
fir se intezaar karne ki
wajah de gaya koi..
Hindi |
00इत्तेफ़ाक़ रखते हैं आपसे
कि उर्दू हमें आती नहीं
पर इससे ये न समझें
कि उर्दू हमें भाती नहीं
Ittefaq rakhte hain aapse
ki urdu humein aati nahi
par isse yeh na samjhe
ki urdu humein bhaati nahi..
Hindi |
10तेरे दौर ऐ रहबरी में यही सुबह शाम होगा
- Vikas Umrao
कहीं बस्तियां जलेंगी कहीं कत्ल ऐ आम होगा..।
Hindi |
61Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare,
main tujhko bhool ke zinda rahun khuda na kare..
rahega saath tera zindagi bankar,
yeh aur baat meri zindagi wafa na kare..
yeh theek hai koi marta nahi judaai mein,
khuda kisi ko kisi se magar pyaar juda na kare..
agar wafa pe bharosa rahe na duniya ko,
to koi shaks muhabbat ka hausla na kare..
suna hai unko muhabbat duaayein deti hai,
jo dil pe chot khaayein magar gila na karein..
zamaana dekh chuka hai parakh chuka hai,
'katil' jaan se jaaye magar iltajaa na kare.. - 'Katil' Shifaai
Urdu |
60Mujh ko rula kar woh bhi roya to hoga
mooh aansuon se usne bhi dhoya to hoga
agar na kiya hai haasil kuch humne pyaar mein
kuch na kuch usne bhi khoya to hoga..
Urdu |
30Kabhi nadi kabhi sehra dikhai deta hai
tumhari aankon mein kya-kya dikhai deta hai
main kya bataaun abhi kaun paas se guzra
har ek chehra tujh sa dikhai deta hai..
Urdu |
20Koi ye Faraz poochhe yeh junoon nahi to kiya hai
Ke usi ke ho ke reh gaye jo na ho saka humara..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Aa Jaa Ajj Badla Nu Chumiye Maar Udaari Hawaa Ch Jhoomiye Jadd ..
- Be Strong Enough To Sccept The Challenges Of Life Never Ask ..
- Love Is Like An Hourglass With The Heart Filling Up As ..
- Charity Sees The Need Not The Cause German Proverb ..
- A Little Boy Who Wanted 100 Rupees He Decided To Write ..
- Age Appears To Be Best In Some Things Old Wood Best ..
- Sher Pinjre Mein Cycle Raste Pe Kitab Baste Mein Balla Ground Mein Teer Kamaan ..
- Jaane Kitne Hi Dukh Dafna Chuka Hun Iss Dil Mein Ab To ..
- Not Just A Body In Time And Space I Am A ..
- New Year Is The Perfect Time To Renew The Bond ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.