20Tu chaand hai is zameen ka aur main sooraj
yahi wajah hai ke apne darmiyaan doori hai
rok na mujhko dekh zidd na kar
teri chaandni ke liye mera doobna zaruri hai..
Urdu |

10Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar,
tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar,
teri ankhon mein khud ko dhoondti hoon is liye shayed,
ke apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar,
takaa karti hoon tanha baith kar pehron jo phoolon ko,
tumhari un main hoti hai shabahat hu’bahuu aksar,
woh raaz dil jisey phoolon ki surat dil main rakha tha,
ussi ki to mehek phailli hai jaana, chaarsu aksar,
Sadaf! deen-e-wafaa ka dum to sab bharte hain lekin kyon,
issi ke naam par galiyon mein behtaa hai lahuu aksar..
- Sadaf Mirza
Urdu |
60Tamaam umar mein har azaan ke baad
ik imtihaan se guzri hun main har imtihaan ke baad
khuda kare ke kahien aur gardish-e-takdeer
kise ka ghar na ujre mere makaan ke baad..
Urdu |
00Maikade se jo nikala meri tauba ne Jaleel
Muddaton sheesha-o-saaghir ne mujhe yaad kiya.. - Hafeez Jaleel Hasan Jaleel Lakhnavi
Urdu |
10Ek umar ki judai mera naseeb kar ke
Woh to chal diya hai baatein ajeeb kar ke
Tarz-e-wafa ko us ki kya naam dun
Khud door ho raha hai mujhe qareeb kar ke..
Urdu |

20Kitna pyaar diya usse par mila kuch bhi nahi
itni gehri chaahat ka haasil-o-hasool kuch bhi nahi
woh humse khafa the to jaan nikal gayi thi humaari
hum unse khafa hain to unko malaal kuch bhi nahi
is kadar dukh diye hain na jaane kis khata par
par hum bhi sabar kar gaye aur kiya sawaal kuch bhi nahi
uski khushi mein hansne waale khaas hain uske liye
dukh mein uske saath hum, humaari misaal kuch bhi nahi..
Urdu |
31Rone wale tujhe rone ka salika bhi nahi
ashq peene ke liye hain ya bahaane ke liye..
Urdu |
10Yehi mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhe
judaaiyon ko bhi chaaha hai qurbaton ki tarha..
Urdu |
20Ek tum ko humein yaad karne ki fursat nahi
ek hum ko tumhe bhulaane ki aadat nahi
tumhe bhulaaya bhi jaaye to kaise
sanso ke bina jeene ki aadat jo nahi..
Urdu |
60खोने की दहशत और पाने की चाहत न होती,
तो ना ख़ुदा होता कोई, और न इबादत होती..
Hindi |
30Nikalna khuld se Adam ka sunte aaye the lekin
Bade beabru hokar tere kuche se ham nikle.. - Mirza Asadullah Khan Ghalib
Urdu |

32Zakham dene ka andaaz kuch aisa hai
zakham dekar puchte hai ab haal kaisa hai
kisi ek se gila kya karna yaaron
saari duniya ka mijaaz ek jaisa hai..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- I Hear I Forget I See I Remember I Do I Understand ..
- Taamas Kere Teen Gun Bhanwar Lehi Tehn Baas Ekehi Daari Teen ..
- Softly The Leaves Of Memory Fall Slowly I Will Gather ..
- It Was Written In A Cemetery This Place Is Full Of ..
- Mohabbaton Ki Ye Waardatein Koi Sunega To Kya Kahega Yeh Behki Behki ..
- Jab Tumhe Uparwaale Ne Tapkaayaa Hoga Bahut Mazaa Aayaa Hoga Hansi Di ..
- Whatever Happens Always Happens On Time ..
- Love Is An Endless Mystery For It Has Nothing Else ..
- Mrutyunjayaaya Rudraaya Neelakantaaya Shambhave Amriteshaaya Sarvaaya Mahadevaaya Te Namaha ..
- Response Is One Of The Most Powerful Weapon To Occupy ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.