30Mohabbat ki imaarat gir gayi hai
koi malbe pe baitha ro raha hai
hawa patton se sir takra rahi hai
tere jane ka maatam ho raha hai..
Urdu |
20ये किसका तसव्वुर है ये किसका फ़साना है
जो अश्क है आँखों में तस्बीह का दाना है
आँखों में नमी सी है चुप-चुप से वो बैठे हैं
नज़ुक सी निगाहों में नाज़ुक सा फ़साना है
ये इश्क़ नहीं आसां इतना तो समझ लीजे
एक आग का दरिया है और ड़ूब के जाना है
या वो थे ख़फ़ा हम से या हम थे ख़फ़ा उनसे
कल उन का ज़माना था आज अपना ज़माना है
- जिगर मुरादाबादीDetails:
तसव्वुर - कल्पना
तस्बीह - माला
Hindi |
92इंसान ख्वाहिशों से बँधा हुआ एक ज़िद्दी परिंदा है
उम्मीदों से ही घायल और उम्मीदों पर ही ज़िन्दा है..
Hindi |
10Chalo so jaate hain ab phir kisi sach ki talaash mein,
ki subha phir is jhooti duniya ka deedar karna hai..
Hindi |
11Main ek aansu hi sahi hun buhat anmool magar
yun palkon se laga kar mujhe matti mein na milaa..
Urdu |
10Aap bharam he sahi baat to kar lein humse
kuch na kehne se mohabbat ka gumaan hota hai..
Urdu |
00Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein tha
main door tha zaroor, magar raaston mein tha..
Urdu |
10बिन बुलाए आ जाते थे, गाँव में रोज़ मिलने
ये परिंदे भी शहर में मशरूफ़ बड़े हैं ..
Hindi |
10Aaye hain to guftgu kijiye
dard hai be-intehaan kuch to marham kijiye
humne ki koshish bahut aapko manaane ki
hain ab bhi khafa to saza dijiye..
Urdu |
110Udasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
woh chaahta to mere saath chal bhi sakta tha,
woh shakhs ke jise tu ne, chhorrne mein jaldi ki,.
tere mizaaj ke saanche mein dhal bhi sakta tha,
woh jald-baaz khafa ho ke chal dia werna,
tamam maslon ka koi hal nikal bhi sakta tha,
anaa ne haath uthaane hi na diye werna,
meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha,
tamaam umer tera muntazir raha woh ek shaks,
yeh aur baat ki woh rassta badal bhi sakta tha..
Urdu |
30Jaane kyun yeh kambakht nazar lag jaati hai
haseen raaton ke baad gham ki dhoop chaa jaati hai
kyun nahi thehar jaata hai yeh waqt us mod par
jahaan mere alfaazon se unke labo pe hansi aa jaati hai..
Urdu |
121Har mor pe mil jate hain hamdard hazaron
shaayed ke meri basti mein adakaar buhat hain..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Good Government Is No Substitute For Self Government Morley ..
- Of Two Evils Choose The Least ..
- Be Rokke Aaunde Hawa De Bulle Ne Teri Udeek Wich Palkaan De ..
- ना कर शिकायत नज़रों से तेरी ..
- Baadal Garja Magar Barsaat Nahi Aai Dil Dhadkaa Magar Aawaaz Nahi ..
- Tawe Par Padaa Popcorn Uchaltaa Kyon Hai Khud Baith Ke Dekho ..
- Life Is A Play That Does Not Allow Testing So Sing ..
- Red 4 Prosperity Blue 4 Sensitivity Orange 4 Progress Pink 4 ..
- The Lightest Organ In The Human Body Is The Lung ..
- Nasha Pila Ke Giraana To Sab Ko Aata Hai Mazaa To ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.