Maut apni na amal apna
kho gaya shorishe-geti mein karina apna

nakhuda door, hawa tez, karin kaame-nahang
waqt hai fenk de lehron mein safeena apna

arsa-e-dah ke hungaame tahe-khwaab sahi
garm rakh aatishe-pekaar se seena apna

saakiya ranj na kar jaag uthegi mehfil
aur kuch der utha rakhte hain peena apna

beshkeemat hain yeh gham haaye- mohabbat mat bhool
zulmate-yaas ko mat saunp khajeena apna.. - Faiz Ahmed Faiz

Details:
Amal - work
shorishe-geti - hue and cry of the world
karina - method
nakhuda - driver of boat
karin - near
kaame-nahang - mouth of crocodile
safeena - boat
arsa-e-dah - span of life
tahe-khwaab - not visible due to sleep
aatishe-pekaar - fire of struggle
haaye-mohabbat - sorrow of love
zulmate-yaas - despair alike darkness
khajeena - treasure

00

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Har jurm meri zaat se mansoob hua hai
kya mere siwa shehar mein masoom hain saare..

30

Urdu |

Safar mein ain mumkin mein khud ko chor doon lekin
duaein karne walon ka sahara saath rehta hai
mere maula ne mujh ko chahton ki saltanat de di
magar pehli mohabbat ka khasara yaad rehta hai..

10

Urdu |

Taluq ab yahan kam hai mulaqatein hain bahut zyada
hajoom-e-shehar mein har shahks tanha ho gaya hai
main tujhse saath bhi to umar bhar ka chahta tha
so ab tujh se gila bhi umar bhar ka ho gaya hai..

10

Urdu |

Mujhe khushboo ki taraha baat uraane wale
tujh mein pehlay to na the rang zamanay wale
apni aasteenon mein chupaye hue khanjar aaye
mujh se yaaron ki taraha haath milaane wale..

20

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Tamaam umar mein har azaan ke baad
ik imtihaan se guzri hun main har imtihaan ke baad
khuda kare ke kahien aur gardish-e-takdeer
kise ka ghar na ujre mere makaan ke baad..

120

Urdu |

Humari to manzliein thi unhi ke naam tak
wohi na pahunch paaye humare makaam tak..

30

Urdu |

Kya batain piyaar ki bazi wafa ki raah mein
Kaun jeeta kaun hara ye kahaani phir sahi
Nafraton kr teer kha kar doston ke shehar mein
Humne kis-kis ko pukara yeh kahani phir sahi..

00

Urdu |

Gul-e-nargis kaa guldastaa badast-e-gair kyun bheja
agar aankhein dikhani thi to khud aa kar dikhaa jaate..

00

Urdu |

Jalaa woh aag mohabbat ki mere seene mein
khayyal gaer ka aaye to khaak ho jaayein..

20

Urdu |

Kaash kuch pal kar paate tum mere naam
kaash yeh chand aur sitare de pata tuhje mera paigam
kaash in huwaaon ke sahaare choo paati tujhe
ki tuhi to hai meri saari khushiyan aur jahaan..

31

Urdu |

shayari.jpg

Kiya sada dilee hai keh giriftaar-e- mohabbat
Karte hain qafas main par-o-parwaaz ki baatein..

00

Urdu |

Recommended for You »

  1. 👬 दोस्ती होती है – *One Time* 🙃 हम निभाते है ..
  2. We Have Got No Personal Relationship And Officially We Are Not ..
  3. By Switching Off One Light You Cannot Stop The Sun From ..
  4. Hasti Thi Hasti Thi Baalon Ko Lehraati Thi Dekh Kar Sharmati Thi Kuch ..
  5. संता की मौत बिजली गिरने ..
  6. Hi Jaan Kahaan Ho Jaan Kab Miloge Jaan Miss U ..
  7. Jab Khayal Kiya To Khayal Bhi Tera Aaya Jab Aankhein Band ..
  8. Saade Rang Ko Galti Se Aap Naa Kora Samjho Isi Mein ..
  9. Dosto Ki Dosti Per Shak Nahi Karte Jab Hum Bol Rahe ..
  10. Radhaji Ne Krishanji Se Poocha Dosti Or Pyaar Me Kya ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.