21Zindagi ke sath sath maut ko gale lagakar chalna
gairon se puchna aur apna bhi naam batakar chalna
dekhkar gairon ko mayus khud mayus na ho jana
khud bhi hanse ki koshish karna, auron ko bhi hasakar chalna
mayus hokar na baithana, Zindagi imtahan leti hai
is haqiqat ko samajhana, sabhi ko samjhakar chalna
dasatak na de de kahin dil par yaadon ke farishte
rahon mein ghuzare hue palon ke nishayan mitakar chalna
tajjub hai! ab bhi tum ho yun mujhse juda juda
mere humnafaz, habib mere zara kareeb aakar chalna
Urdu |
71Tumse dooor jaane ka iraada na tha,
par saath rehne ka bhi waada na tha,
tum yaad na karoge yeh jaante the hum..
par itni jaldi bhool jaaoge yeh andaaza na tha.
Hindi |
61Na thi jisko mere pyaar ki kadar,
ittefaq se usi ko chaah rahaa tha main,
usi diye ne jalaaya mere haath ko..
jisko hawa se bachaa raha tha main.
Hindi |
64Kyon yaad aati hai tumhaari,
kyun palke bheeg jaati hai humaari,
jahaan-jahaan bhi gire humaare aansoo,
kyun tasveer ban jaati hai tumhaari..
Hindi |
163Har roz hum nashe mein hote hain
aur shaam guzar jaati hai,
ek din aisa bhi aayega
jab shaam nashe mein hogi aur
hum guzar jaayenge..
Hindi |
21Agar bhigne ka itna hi shauq hai baarish mein,
to dekho na meri aankhon mein,
baarish to har ek ke liye hoti hai
lekin yeh aankhein sirf tumhare liye barasti hain..
Hindi |
82Kis raah par jana hai ye kaun janta hai,
kis manzil ko pana hai ye kaun janta hai,
khushi ke do pal milte hain to ji bhar ke jee lo,
kab rooth jaye khud se zindagi ye kaun janta hai..
Hindi |
40कितना इख्तियार था उसे अपनी चाहत पर
- Mashqoor Ahmed
जब चाहा याद किया , जब चाहा भुला दिया
बहुत अच्छे से जानता है वो मुझे बहलाने के तरीके
जब चाहा हँसा दिया , जब चाहा रुला दिया ..
Kitna ikhtiyaar tha use apni chahat par
jab chaha yaad kiya, jab chaha bhula diya
bahut achche se janta hai woh mujhe behlane ke tareeke
jab chaha hasa diya, jab chaha rula diya..
Hindi |
60Bahut kam hain zamaane mein log aise,
chaahat ki jinhe pehchaan hoti hai,
soch lena kisi pe mar mitne se pehle ki..
lutaane ke liye ek hi jaan hoti hai.
Hindi |
62Badla wafa ka denge badi Saadgi se Hum,
Tum "Hum " se rooth jaaoge aur Zindagi se Hum
Urdu |
62तेरी दुआओं का दस्तुर भी अजब है मेरे मौला
मोहब्बत उन्हीं को मिलती है जिन्हे निभानी नही आती..
Hindi |
130Bada armaan tha tere sang jeevan bitane ka,
shikwaa rahaa bas tere khamosh reh jaane ka,
deewangi isse badhkar kya hogi,
ki aaj bhi intezaar hai tere aane ka.
Hindi |
♥ Recommended for You »
- If You Do Not Change Direction You May End Up Where ..
- I Am A Simple Person Who Hides A Thousand Feelings Behind The ..
- Lets Start A Great Life By Conquering Our Eternal Five ..
- Aapki Shaan Mein Arz Hai Nazar Bhar Ke Dekh Liya Hota Agar ..
- Raah Chalte Agar Koi Ladki Aapko Bhai Bol De To ? ? Simple ..
- Two Things Always In Life To Be Remembered 1 Don T ..
- Kaafila E Raftaar Ho Umdaa Aur Saath Mein Rafeeq To Kya Bataaein Ki Rishi Ne ..
- मन छोड़ व्यर्थ की चिंता तू शिव का नाम लिये जा शिव ..
- Pati Ke Marne Ke Next Day Wife Ne Paper Mein ..
- Jab Yaad Aati Hai Tumhari Muskura Lete Hain Kuch Pal Ke ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.