40कितना इख्तियार था उसे अपनी चाहत पर
- Mashqoor Ahmed
जब चाहा याद किया , जब चाहा भुला दिया
बहुत अच्छे से जानता है वो मुझे बहलाने के तरीके
जब चाहा हँसा दिया , जब चाहा रुला दिया ..
Kitna ikhtiyaar tha use apni chahat par
jab chaha yaad kiya, jab chaha bhula diya
bahut achche se janta hai woh mujhe behlane ke tareeke
jab chaha hasa diya, jab chaha rula diya..
Hindi |
40Agar rakh sako to ek nishaani hun main,
aur kho do to sirf ek kahaani hun main,
rok paaye na jisko yeh saari duniya ,
woh ek boond aankhon ka paani hun main..
Hindi |
60Maine usko salaam likh bheja,
hal-e-dil tamaam likh bheja,
maine poocha tere honth kaise hain?
usne jaam likh bheja
maine poocha tere baal kaise hain?
usne kudrat ka inaam likh bheja
maine poocha kab hogi mulaqaat?
usne qayamat ki shaam likh bheja
maine poocha itna tadpaate kyon ho?
usne pyaar ka imtehaa likh bheja
maine poocha tumhe nafrat hai kis se?
zaalim ne mera naam likh bheja.
Hindi |
30Bheed itni to nahi thi sheher ke bazaaron mein,
khone waale tu ne kuch deir to dhoonda hota..
Hindi |
20Mehfil-e-jahaan se yun ruksat hue woh
ke ab kis chiraag se shab-e-roshan ho..
Urdu |
61Ek kahani hazaaro saal purani,
husn aur mohabbat gehre dost the,
ek din dono saath mein baithe the,
k chaand nikal aaya,
itne mein mohabbat ne chaand ki taarif karni shuru kar di,
yeh baat husn ko achchi na lagi
aur usne mohabbat ki aankhe noch li,
tabhi se mohabbat andhi aur husn zaalim ho gaya.
Urdu |
110ना होने देंगे उन्हें तनहा हम
उनकी तन्हाहियों को सजाया करेंगे
चले जाएंगे ज़माने से बहुत दूर
रह - रह कर उन्हें याद आया करेंगे
Hindi |
60Kudrat ke karishmo mein agar raat na hoti,
khawaabo mein bhi unse mulaqat na hoti,
yeh dil har gham ki wajah hai..
yeh dil hi na hota to koi baat na hoti.
Hindi |
40Pyaar Karne Ka Hunnar Hame Nahi Aata,
- Hemant Singh
Isliye Pyaar Ki Baazi Ham Haar Gaye,
Humaari Zindagi Se Unhe Bahut Pyaar Tha,
Shayad Isliye Wo Hame Zinda Hi Maar Gaye..
Hindi |
21Zindagi ke sath sath maut ko gale lagakar chalna
gairon se puchna aur apna bhi naam batakar chalna
dekhkar gairon ko mayus khud mayus na ho jana
khud bhi hanse ki koshish karna, auron ko bhi hasakar chalna
mayus hokar na baithana, Zindagi imtahan leti hai
is haqiqat ko samajhana, sabhi ko samjhakar chalna
dasatak na de de kahin dil par yaadon ke farishte
rahon mein ghuzare hue palon ke nishayan mitakar chalna
tajjub hai! ab bhi tum ho yun mujhse juda juda
mere humnafaz, habib mere zara kareeb aakar chalna
Urdu |
43Fursat kise hai roothne-manaane ki,
nigaahein badal gayi apne aur begaano ki,
aap na todna haath dosti ka,
warna tamanna na rahegi dost banaane ki..
Hindi |
92Bheegi hui aankhon ka yeh manzar na milega,
moti yeh kisi seep ke andar na milega,
aansu ko kabhi os ka katra na samajhna,
aisa tumhe chaahat ka samander na milega..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- Na Hota Maikhana To Deewane Kahan Jaate Na Hota Saaqi To ..
- रात और दिन तुझे देखता ..
- Ginoo Sab Hasratein Jo Khoon Hui Hain Tan Ke Maqtal ..
- A Ladder Is There To Help Us Climb It Is Of ..
- You Want And You Get That Is Luck You Want And ..
- Na Le Jaao Rishi Mujhe Un Viraano Mein Jahaan Mein Dojakh ..
- He Who Drinks One Glass Of Wine A Day Will Live ..
- Jab Ki Tujh Bin Nahi Koi Maujuud Phir Ye Hungaamaa Ae ..
- Santa Ko Sapne Me Kisi Ne Goli Maar Di 2nd Day ..
- Sheeshe Mein Shakal Paper Mein Nakal Function Mein Thaali Mazaak Mein Saali Pyaas Mein ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.