10Sagar se dosti to kinaare bhi nahi karte
- Vikas Umrao
Aajkal to wafa humse hamare bhi nahi karte
Ek tumse thi ummeed,
So wo bhi aaj toot gayi…
Chup-chap beh jaate hain,
Kisi se sikayat mere aansu bechaare nahi karte…..
Hindi |
13Pyaar karo, Pyaar ki koi hadh nahi hoti,
do dilo ke beech sarhad nahi hoti,
dilruba ko to sabhi chaahte hain,
bewafa ko chaahne ki kismat sabki nahi hoti.
Hindi |
52Dilo se khelne ka hunar hame nahi aata
isliye ishq ki baazi hum haar gaye.
Meri zindagi se shaayad unhe pyaar tha
isliye mujhe zinda hi maar gaye.
Hindi |
64Tanhaai na paaye koi mehfil ki raat ke baad,
judaai na paaye koi kisi ke saath ke baad,
na pade kisi ko aadat kisi ki itni..
ki har saans bhi aaye uski yaad ke baad.
Hindi |
245Likho to paigaam kuch aisa likho ki,
kalam rone pe majboor ho jaaye..
har lafz mein dard bhar do itna ki,
padhne waala pyaar karne ko majboor ho jaaye.
Urdu |
64Kyon yaad aati hai tumhaari,
kyun palke bheeg jaati hai humaari,
jahaan-jahaan bhi gire humaare aansoo,
kyun tasveer ban jaati hai tumhaari..
Hindi |
50Najoomi ne to mujhe pareshani mein daal diya hai,
kehta hai tujhe maut nahi, kisi ki yaad maaregi..
Urdu |
61Naaa karnaa pyaar koi rull jehe jaoge,
- Rohit Bumrah
bhavein dil hove pathar taanvi ishq ch tut jehe jaoge,
har shaayar, kavi, lekhak di kavita kehndi naa kareo aitbaar kadi,
jeeounde jee mar-muk jaoge..!
Punjabi |
10झूम-झूम कर मैं भी गाता
वफ़ा का हमारी अगर कोई सिला दे देता ..
Hindi |
63Waqt tera bhi guzar gaya
- Anas Qureshi
Waqt mera bhi guzar gaya
kisi ki eid guzar gayi
koi eid pe guzar gaya..
Hindi |
20Bete hue lamho ko jab bhi yaad kiya humne,
gardish-e- waqt ko ru-ba-ru har baar kiya humne,
ek zakhm ubharta hai is dil mein,
jab jaam ka honto se ehtraam kiya humne.
Dooor hokar bhi tum aa jaate ho nazar ke saamne,
in palko ko jab bhi sangsaar kiya humne,
ae dost hum bhi ho chuke is ishq mein ghaayal,
aur apni zindagi ko barbaad kiya humne..
Urdu |
31Jab bhi unki gali se guzarte hun,
meri aankhein ek dastak de deti hain,
dukh yeh nahi, woh darwaza band kar dete hain,
khushi yeh hai, woh mujhe ab bhi pehchaan lete hain..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- ताश के पत्तों से ताज महल नहीं बनता; नदी को रोकने ..
- फ़क़ीर दे कर मुकर जाता हैं और भिखारी ले कर ..
- Climb Mountains Not So The World Can See You But So ..
- Kabhi Sardi Jaaye Kabhi Garmi Aaye Kabhi Nanhi Nanhi Boondein Bhigayein Hain Saare ..
- Dogs Come When They Re Called; Cats Take A Message And Get ..
- A Monk Asked Tianping Congyi The Mountains Rivers And The Great ..
- Never Let Anyone Silence Your Voice Jurnee Smollett ..
- Bahut Kam Hain Zamaane Mein Log Aise Chaahat Ki Jinhe Pehchaan ..
- Full Of Light Full Of Celebrations Full Of Joy And Full Of Colors May ..
- Thought For A Lifetime In Order To Have A Comfortable Journey ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.