81Hum dushmano ko bhi Pakeeza saza dete hein
Haath uthate nahi, nazron se Gira dete hein..
Urdu |
40Labon pe aa gai thi ek baat harf-e-haq ban kar,
khabar ye faeli jahan mein ke zuban daraaz hain hum..
Urdu |
41Ye nashist kya hai raah mein, terey zauq-e- ishq ko kya huwa
abhi chand kaantey chubhey nahi ke sab iraadey badal gaye..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
30Zakham itne gehre hain izhaar kya karein
hum khud nishana ban gaye hain waar kya karein
mar gaye hum magar khuli rahi aankhein
ab is se zyada unka intezaar kya karein..
Urdu |
31Momin na sahi bosa-pa sajdah hi karenge
Voh but hai jo auron ka to apna bhi khuda hai. - Hakim Momin Khan
Urdu |
01Zindagi to kab ki ho chuki khaamosh
dil to bas aadatan dhadakta hai..
Urdu |
42Neend to bachpan mein aati thi
- Shivam Chauhan
ab to bas thak kar ke so jaate hain..
Hindi |
41Dete ho kyun yeh dard bas hami ko
Kya samjhoge tum in aankhon ki nami ko
Yun to honge laakhon deewane is chand ke
Chand kya mehsus karega ik taare ki kami ko..
Urdu |
11Hum ne kaha agar bhool jao humein to kamal ho jae
Hum ne to faqat baat ki, tum ne kamal kar diya..
Urdu |
20Udaas dil ka thikana kisi ko kahan maaloom
hum apne aap se bichrre to phir jaane kahan honge..
Urdu |
22Teri mehfil ke dastoor-e-dum
mujhe khamosh hi rehne de humdum
aisa na ho yeh chaman sulagne lage..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- नहीं चाहिए सौगातें अम्बर में जाने की जाने कब ख़त्म ..
- A Man Gave Advt In Matrimonial Column PATNI CHAHIYE He Got Several ..
- I Am A Dream Seller I Am Here To Listen To ..
- बहुत दिनों से थी आसमान ..
- अगर एक प्राइवेट कंपनी हर तिमाही अपनी आय का लेखा ..
- Second Thoughts Are The Best ..
- Union Is Strength ..
- Chalo So Jaate Hain Ab Phir Kisi Sach Ki Talaash ..
- Ye Kambakht Hichkiyan Thamti Kyun Nahin; Ye Kis Ke Zehan Mein ..
- I Asked My Wife Where Do You Want To Go ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.