32Rone wale tujhe rone ka salika bhi nahi
ashq peene ke liye hain ya bahaane ke liye..
Urdu |
20वो कहते हैं की हम उनकी झूठी तारीफ़ करते हैं
- Reshma
ऐ खुदा बस एक दिन के लिए आईने को ज़ुबान दे दे ..
Hindi |
10ऐतराज़ की भला क्या बात है
ये किस्सा-ओ-जाम और वाक्या-ए-महफ़िल
आपके ही हैं ..
Urdu |
10Yeh zindagi hai ke barish hai sangraizoon ki
main toot phoot gya iss mein mubtila ho kar..
Urdu |
20Ye kaisi shart lagaayi hai meri aankhon ne
ke tujhko sochna chhorun to neend aayegi..
Urdu |
10Haadse kya-kya tumhaari berukhi se ho gaye
saari duniya ke liye hum ajnabi se ho gaye
kuch tumhaare gesuon ki berehemi ne kar diye
kuch andhere mere ghar ki roshni se ho gaye
banda-parvar khul gayaa hai aastaanon ka bharam
aashnaa kuch log raaz-e-bandagi se ho gaye
gardish-e-dauraan zamaane ki nazar aankhon ki neend
kitne dushman ek rasm-e- dosti se ho gaye
yun to hum aagaah the sayaad ki tadabir se
hum asiir-e-dum-e-gul apni khushi se ho gaye
ab kahaan ae dost chashm-e-muntazir ki aabaru
ab to unke ahad-o-paimaan har kisi se ho gaye
har kadam "Sagar" nazar aane lagi hain manzilein
marhale kuch tae meri aavaaragi se ho gaye..Details:
haadse = accidents/misfortunes
berukhi = indifference
gesu = hair
berehemi = disorder
aagaah = forewarned
sayaad = hunter
tadabir = arrangement
asiir = prisoner
chashm = eye
muntazir = waiting
ahad-o-paimaan = promises
marhale = difficult work/journey
Urdu |
12Kya aise kam sukhan se koi guf-ta-gu kare
jo mustaqil sukoot se dil ko lahoo kare
ab to humein bhi tark-e-taalluq ka gham nahi
par dil yeh chahata hai keh aaghaaz tu kare..
Urdu |
50Faiz zinda rahein woh hain to sahi
kya hua gar wafa shuaar nahi..
Urdu |
03Qaid tha dil mein tera hi dard ta-umar ke liye,
Mar rahi thi har aarzu dard ke is safar mein..
Urdu |
12Tere ashkon mein dhal ke aaonga
ab main soorat badal ke aaonga
dekhti rahogi rasto par tum
aur main badal pe chal ke aaonga..
Urdu |
20Mujhe pasand tha har jhooth usske honton se
Woh sach na bolta mujh se tau kitna accha tha..
Urdu |
11Mujh se hogi nahi duniya yeh tijarat dil ki
main karun kya ke mera zehan hai khawabon waala..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Criticism May Not Be Agreeable But It Is Necessary It Fulfils ..
- Ek Baat Humesha Yaad Rakhna Mere Dost Train Kabhi Puncture Nahi ..
- दोस्तों की दास्ताँ जब वक़्त ..
- From My Rotting Body Flowers Shall Grow And I Am In ..
- Makaam E Sood O Ziyan Aa Gaya Hay Phir Jaana Yeh Zakham Mere Sahi Teer ..
- Oh Sms Jaake Meri Dost Ko I MISS U ..
- Rizzaq E Do Jahan Ke Khazane Ko Kiya Hua Milta Hai Ghum Woh Bhi ..
- Preventing Someone From Falling Is Better Than Helping Him Get ..
- The Nails On Long Fingers Grow Faster Than Short Fingers; And ..
- Kya Hua Jo Tere Maathe Per Hain Sajdon Ke Nishan Koi ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.