20Mujhe pasand tha har jhooth usske honton se
Woh sach na bolta mujh se tau kitna accha tha..
Urdu |
11Isi khayal se aansoo chupaa liye humne
udaas reh ke kisi ko udaas kya karna..
Urdu |
00Pehlu mein yaar, haath mein jaam sharab ho
Itna bhi aasman ko nahi hai samaa pasand.. - Saba Lakhnavi
Urdu |
21Sanson ka toot jana to aam si baat hai Faraz
jahaan apne rooth jaen mout us ko kehte hain..
Urdu |
10Hone Deta
raaz zahir bhi ye mujh pe nahi hone deta..
khoof-e-ruswai se kar deta hai hairaan aise
meri aankho ko samandar nahi hone deta..
maum kar deta jab loot ke aa jaata hai
mujh ko furkat me woh patthar nahi hone deta..
dekhta hon tu kabhi chand, kabhi phool hai woh
apni soorat mujhay azbaar nahi hone deta..
jee me hai ar ke chala jao jaha rahta hai
woh mera ghar bhi mera ghar nahi hone deta..
jab bhi milta hai tu bas toot ke milta mujhay
apne gham ka mujhay khoghar nahi hone deta ..
rooth bhi jate hain Jafar tu manalene me
mujh ko apne se wo bahtar nahi hone deta..
Urdu |
86न जान नादाँ इन्हें शज़र-ए-गुलिस्ताँ
ये आशिक़ हैं रुसवाई के
मुददत से इज़्हार-ए-इक़रार की
उम्मीद -ए-इंतेज़ार में ..
Urdu |
10Ye rakh rakhao muhabbat seekha gai usko
woh rooth kar bhi mujhe muskura kar milta hai..
Urdu |
10Tum ko chahte hue bhi bhool jana acha laga
Aansu ko chupa kar muskurana acha laga
Tum ajnabi the mere liye magar apna jaan kar acha laga
Pehchan to ik pal ki thi, magar sadiyon se jaan kar acha laga..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
41Dete ho kyun yeh dard bas hami ko
Kya samjhoge tum in aankhon ki nami ko
Yun to honge laakhon deewane is chand ke
Chand kya mehsus karega ik taare ki kami ko..
Urdu |
11Itni shiddat se tumko paane ki koshish ki hai
ke zarre-zarre ne tumse, milane ki saazish ki hai..
Urdu |
22Teri mehfil ke dastoor-e-dum
mujhe khamosh hi rehne de humdum
aisa na ho yeh chaman sulagne lage..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Love Will Find You Even If You Are Trying To ..
- KHUSH HOON Zindagi Hai Chhoti Har Pal Me Khush Hun Office Me Khush ..
- How A Rishi Can Distinguish When All Is Odd Yet Everything ..
- Good Laws Have Sprung From Bad Customs ..
- Intelligence Without Ambition Is A Bird Without Wings Salvador Dali ..
- Koi Ye Faraz Poochhe Yeh Junoon Nahi To Kiya Hai Ke ..
- When You Like Someone Deeply Misunderstandings May Arise But Don T Feel Bad ..
- A Man Is Called Selfish Not For Pursuing His Own Good But ..
- Raftaar Kitni Bhi Tez Kyu Na Ho Lagaam Toh Upar Wale ..
- What Is Attitude ? Three Ants Saw An Elephant Coming 1st Ant ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.