Mujhe ye dukh nahi ke main mar jaaonga ik din Wasi
mujhe dukh hai ke mere baad teri khusiyon ki dua kaun karega..

20

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Kar guzaarish khuda se 'abhi' tu apne liye,
ki jee le ek aur din tu kisi ke liye,
har nayi mushkil se kyun ghabrata hai tu,
ek umar guzarti hai tajurbon ke liye,
saaki ne band kiye maikadaa'n ke darwaaze,
paimaano ki zaroorat nahi nigaahon se peene ke liye,
furkat-e-yaar mein bekaraar hai 'abhi',
aur mausam bhi tayyaar hai barasne ke liye,
doosre ke girebaa'n mein jhaankta hai jo,
ek nazar rakhe apne girebaa'n ke liye bhi..
- Abhishek Tanwar

30

Hindi |

Tu mera dard jab barhata hai
jane kya dil sakoon pata hai
ishq main har asaasa lutt jaye
tab kahain jaa ke chain aata hai..

10

Urdu |

Kuch aise dost meri nighah mein hain qatil
ke mujh ko jis se baaz rakhein khud usi pe marte hain..

01

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Badla jo waqt gehri rafaaqat badal gai
Suraj dhala to saae ki surat badal gai
Ik umar tak main uski zaroorat bana raha
Phir yun hua ke uss ki zaroorat badal gai..

33

Urdu |

Mohsin gareeb log to tinkon ka dher hain
malbe mein dabb gaye to kabhi paani mein beh gaye..

11

Urdu |

Duniya se dil laga kar
Duniya se kya milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..

daulat ho ya hukumat
taakat ho ya jawaani
har cheez mitne waali
har cheez aani jaani
yeh sab guroor ik din
mitti mein jaa milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..

aataa nahi palat kar
guzra hua zamaana
kya khwaab ka bharosa
kya maut ka thikaana
yeh zindagi ganwaa kar
kya faayeda milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..

72

Urdu |

Mera us shehr-e-Adawat mein Basera hai Faraz
Jahaan Charas to mil jati hai magar Cheeni nahi milti..

32

Urdu |

Har tarike se bhulana chaha magar,
har khayal se paida, tera khayal hota hai..

21

Hindi |

Ek muddat se meri maa soi nahi Tabish
maine ek baar kaha tha mujhe darr lagta hai..

111

Urdu |

shayari.jpg

Rahon ki zehmaton ka tujhe kya saboot doon
manzil mili to paon ke chhale nahi rahe..

40

Urdu |

Recommended for You »

  1. Khaa Ke Gujiya Pee Key Bhaang Laga Ke Thoda Thoda Sa ..
  2. I Requested God Let My Friend Be Happy And Healthy ..
  3. Angry Dad After Seeing Son S Scorecard Need A Good Beating Son Sure ..
  4. Boy I Love You Main Tumhare Liye Kuch Bhi Kar ..
  5. Liars Will Figure But Figures Will Not Lie K Santhanam ..
  6. Smiles Are Like Birds They Fly From One Face To Another May ..
  7. प्रकृति को करीब से देखा तो पाया कि संघर्ष ही ..
  8. Bujh Chuke Chiraag Dairo Haram Ke Dil Jalaao Ki Roshni Kam ..
  9. In Matters Of Religion Most Persons Prefer Chewing The Menu To Actually ..
  10. Makki De Roti Te Sarson Da Saag Nachde Ne Saare Te ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.