Aa ke le ja meri aankh ka pani mujh se
kyun hasad karti hai daryaon ki rawani mujh se
gosht nakhun se alag kar ke dikhaya maine
uss ne pooche the judaai ke maine mujhse..

00

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Labon pe aa gai thi ek baat harf-e-haq ban kar,
khabar ye faeli jahan mein ke zuban daraaz hain hum..

40

Urdu |

Kar guzaarish khuda se 'abhi' tu apne liye,
ki jee le ek aur din tu kisi ke liye,
har nayi mushkil se kyun ghabrata hai tu,
ek umar guzarti hai tajurbon ke liye,
saaki ne band kiye maikadaa'n ke darwaaze,
paimaano ki zaroorat nahi nigaahon se peene ke liye,
furkat-e-yaar mein bekaraar hai 'abhi',
aur mausam bhi tayyaar hai barasne ke liye,
doosre ke girebaa'n mein jhaankta hai jo,
ek nazar rakhe apne girebaa'n ke liye bhi..
- Abhishek Tanwar

30

Hindi |

Mumkin ho aap se to bhula dijiye mujhe
pathar pe hoon lakeer mita dijiye mujhe
har roz mujh se taaza shikaayat hai aapko
main kya hoon ek baar bata dijiye mujhe..

70

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Ye adaa-e-beniyaazii tujhe bewafa mubaarak
magar aisi bhi be-rukhii kya ke salam tak nahi..

20

Urdu |

Yaadon ke haashiye bhi ahem hain buhat Mohsin
deemak lagi kitaab ko aahisata kholiye..

20

Urdu |

Mohabbaton ki ye waardatein koi sunega to kya kahega
yeh behki-behki humari baatein koi sunega to kya kahega

raqaabaton ki qayaamaton se khandarein tabdeel ho rahi hain
humari chaahat ki kaa-e-naatein koi sunega to kya kahega

tumhare khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne
yeh ankahi si tumhari baatein koi sunega to kya kahega

hum hi hain mazloom hum hi hain zaalim hum hi hain maqtool hum hi hain qaatil
hum hi hain mohre hum hi hain baesatein koi sunega to kya kahega

tere tasavvur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon mein
beghair dhole ki ye baaraatein koi sunega to kya kahega

10

Urdu |

Hujoom-e-gham meri fitrat badal nahi sakta
main kya karoon, meri aadat hai muskuraane ki..

81

Urdu |

Zakham itne gehre hain izhaar kya karein
hum khud nishana ban gaye hain waar kya karein
mar gaye hum magar khuli rahi aankhein
ab is se zyada unka intezaar kya karein..

30

Urdu |

Gham ki aahat na aaye tere darr par
pyaar ke samander ka tum bhi ek kinara ho
bhool se jo tapke teri aankhon se moti
thaame wahi jo tumhe sabse pyara ho..

40

Urdu |

shayari.jpg

Raqs karta tha bagulon se galey mil mil kar
eid sehra mein manai tere deewane ne..

30

Urdu |

Recommended for You »

  1. America Can Eliminate Osama In Pakistan India Can Do The Same ..
  2. Any Man Can Be A Father But It Takes Someone Special ..
  3. Aa Jaa Ke Abhi Zabt Ke Mausam Nahi Guzra Aa Jaa ..
  4. Syllabus Tough Hai To Kya Hua Mil Kar Parchi Chala Enge Upar Se ..
  5. Confidence Is The Foundation Of Friendship If We Give It We ..
  6. Be Faida Hai Zeest Main Ahbaab Ka Hajoom Ho Pekar E Khaloos To Kaafi ..
  7. Give Neither Salt Nor Counsel Till You Are Asked For ..
  8. Thandi Coffee Ko Garam Kar Lo Is Pathar Dil Ko Thoda ..
  9. A True Friend Is Not Like RAIN Which Pours & Goes ..
  10. कुत्ते की पूँछ पर पैर रखने से अगर वो काट ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.