Paash-paash ho jaein ab to ye maflooj sochein
rooh pe koi taaza zarbe sitam laga ke dekho..

11

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Baat din ki nahi, ab raat se darr lagta hai,
ghar hai kacha mera, barsaat se darr lagta hai..

Tere tohfay ne to bas khoon ke aansoo hi diye,
zindagi ab teri saughaat se darr lagta hai..

pyaar Ko chhor kar tum aur koi baat karo,
ab mujhe pyaar ki har baat se darr lagta hai..

Meri khaatir na wo bandnaam kahin ho jaaein,
iss liye unki mulaqaat se darr lagta hai..

00

Hindi |

Ek umar ki judai mera naseeb kar ke
Woh to chal diya hai baatein ajeeb kar ke
Tarz-e-wafa ko us ki kya naam dun
Khud door ho raha hai mujhe qareeb kar ke..

10

Urdu |

Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN

yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN

raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

-Majaz Lakhnawi

00

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Mujh se hogi nahi duniya yeh tijarat dil ki
main karun kya ke mera zehan hai khawabon waala..

11

Urdu |

Majboor na hote jo tabiyat se Zaheer! Aah
Ghar ghair ke kyun dekhne jaate teri surat.. - Qazi Mohammad Zaheeruddin Zaheer Lakhnavi

00

Urdu |

Kuch aise dost meri nighah mein hain qatil
ke mujh ko jis se baaz rakhein khud usi pe marte hain..

01

Urdu |

Aaye hain to guftgu kijiye
dard hai be-intehaan kuch to marham kijiye
humne ki koshish bahut aapko manaane ki
hain ab bhi khafa to saza dijiye..

10

Urdu |

Mar kar bhi tha khaak na asudah huye aah!
Ae ishq na the ham tere anjaam se vaaqif.. - Nazeer Akbarabadi

21

Urdu |

Jungle mein is tarha ki udaasi na thi kabhi
ae Qaarwaan thehar koi saathi bichar gaya..

10

Urdu |

shayari.jpg

Kuch apni galtiyon ka azala karo Wasi ,
yun nafraton ko dil mein pala na karo Wasi ,
seedha sa ik sawal hai seedha jawab do,
yun muskura ke mujh ko na tala karo Wasi ,
alfaz gira dete hein jazbat ki qeemat,
jazbat ko lafzon mein na dhala karo Wasi ,
sambhle hue logon ke girne ki fikr choro,
jo gir rahe hain unko sambhala karo Wasi ..

20

Urdu |

Recommended for You »

  1. मिसाल दे रहे हैं वो मेरे नाम की और हम ..
  2. The Greatest Test Of Courage On The Earth Is To ..
  3. Better To Reign In Hell Than To Serve In Heaven ..
  4. With Willing Hearts And Skillful Hands The Difficult We Do Immediately; The ..
  5. Mujhe Tum Rooh Me Basa Lete To Acha Tha Faraz Dil O Jaan ..
  6. Chu Kar Az Hama Heelt E Dar Guzshat Halal Ast Burdan ..
  7. Today Is Tom & Jerry S Memorial Day Jìchén In Their Sweet ..
  8. Accept That Some Days You Re The Pigeon And Some Days You Re ..
  9. Pyaar Karne Ka Hunnar Hame Nahi Aata Isliye Pyaar Ki Baazi ..
  10. No One In This World Is Pure And Perfect If You ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.