10Sunana sahil pe ja ke wafa ke fasaane magar
kabhi kirnon ka raet par paighaam na likhna..
Urdu |
121Har mor pe mil jate hain hamdard hazaron
shaayed ke meri basti mein adakaar buhat hain..
Urdu |
51Raat Hui Jab Shaam Ke Baad
Teri Yaad Aayi Har Baat Ke Baad
Khamosh Reh Kar Bhi Humne Dekha
Teri Awaaz Aayi Har Sans Ke Baad..
Urdu |
22Apne hone ka pata de dena
kabhi guzro to sada de dena
yaad aa jaaun ibaadat mein agar
haath utha ke bus dua de dena..
Urdu |
70173GHALIB
Ghalib sharab peene de masjid mein baith kar
ya woh jagah bata jahan Khuda nahi.
ग़ालिब शराब पीने दे
मस्जिद में बैठ कर
या वो जगह बता
जहाँ खुदा नहीं ..
IQBAL
masjid Khuda ka ghar hai peene ki jagah nahi
Kafir ke dil mein jaa wahan Khuda nahi..
Faraz
Kafir ke dil se aaya hun yeh dekh kar Faraz
Khuda maujood hai wahan,
usay pata nahi..
WASI
Khuda to maujood dunia mein har jagah
Tu Jannat mein jaa, wahan peene se mana nahi..
SAQI
Peeta hun saqi, gam-e- duniya bhulaane ke liye
Jannat mein kaun sa gham hai, is liye waha maza nahi..
Urdu |
111Ek muddat se meri maa soi nahi Tabish
maine ek baar kaha tha mujhe darr lagta hai..
Urdu |
20Aksar woh meri nazm ka unwaan raha hai
lekin woh meri mohabbat se anjaan raha hai
kuch kaha na kabhi is dar se ki bura maan na jaye
magar woh ab isii baat ka bura maan raha hai..
Urdu |
10Tum ko chahte hue bhi bhool jana acha laga
Aansu ko chupa kar muskurana acha laga
Tum ajnabi the mere liye magar apna jaan kar acha laga
Pehchan to ik pal ki thi, magar sadiyon se jaan kar acha laga..
Urdu |
00Gul-e-nargis kaa guldastaa badast-e-gair kyun bheja
agar aankhein dikhani thi to khud aa kar dikhaa jaate..
Urdu |
01Dil ke rag-rag nicchod lete hain
Ishq main yeh badi museebat hai..
Urdu |
10Gaa main bhi sakta hun par aawaz nahi hai
- Shubham
baja main bhi sakta hun par koi taal nahi hai
itna gurur mat kar o tajmahal banaane wale
bana main bhi sakta hun par koi mumtaj nahi hai..
Hindi |
10Taluq ab yahan kam hai mulaqatein hain bahut zyada
hajoom-e-shehar mein har shahks tanha ho gaya hai
main tujhse saath bhi to umar bhar ka chahta tha
so ab tujh se gila bhi umar bhar ka ho gaya hai..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Ab Kahaan Hoon Kahaan Nahi Hoon Main Jis Jagah Hoon Wahaan ..
- Aakash Ke Taro Me Khoya Hai Jaha Sara Lagta Hai Pyara ..
- In Fair Weather Prepare For Foul ..
- When Hungry Eat When Tired Sleep ..
- Khote Sikkon Mein Kar Baithe Yeh Sauda Rishi Unke Chehre Se ..
- A Man Who Stands For Nothing Will Fall For Anything ..
- When You Have To Measure The Worth Of A Person Measure ..
- He Bore It All In Silence Because He Held Us Dear May ..
- थोड़ी राहत मिली है हैदराबाद के दोषी मारे हैं उन्नाव और ..
- There Is No Future In Any Job The Future Lies In ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.