14Tum mujhe bhool jao to yeh haq hai tumko
meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai..
Urdu |
20Mujay aksar sitaron se yahi aawaaz aati hai
Kisi ke hijar mein neendein ganwaa ker kuch nahi milta
Jigar ho jayega chalni yeh aankhaein khoon royengi
Wasi bay faiz logon se nibhaa ker kuch nahi miltaa..
Urdu |
21Kehte hain ki ishq ki zubaan nahi hoti
pyaar to nazron se bayaan ho jaata hai
muhabbat karne wale teer-e-nazar rakhte hain
aap kitna bhi chupaiye dil-e-bekraar ka to kooson door se pata chal jaata hai..
Urdu |
20Ye adaa-e-beniyaazii tujhe bewafa mubaarak
magar aisi bhi be-rukhii kya ke salam tak nahi..
Urdu |
20Nahi hai mere mukaddar mein roshni na sahi,
yeh khidki kholo zara subha ki hawa hi lage..
Urdu |
00Maut apni na amal apna
kho gaya shorishe-geti mein karina apna
nakhuda door, hawa tez, karin kaame-nahang
waqt hai fenk de lehron mein safeena apna
arsa-e-dah ke hungaame tahe-khwaab sahi
garm rakh aatishe-pekaar se seena apna
saakiya ranj na kar jaag uthegi mehfil
aur kuch der utha rakhte hain peena apna
beshkeemat hain yeh gham haaye- mohabbat mat bhool
zulmate-yaas ko mat saunp khajeena apna.. - Faiz Ahmed FaizDetails:
Amal - work
shorishe-geti - hue and cry of the world
karina - method
nakhuda - driver of boat
karin - near
kaame-nahang - mouth of crocodile
safeena - boat
arsa-e-dah - span of life
tahe-khwaab - not visible due to sleep
aatishe-pekaar - fire of struggle
haaye-mohabbat - sorrow of love
zulmate-yaas - despair alike darkness
khajeena - treasure
Urdu |
11Fasal-e-khizan main phool khushi ke kihlaaye hain
hum intahay-e-karab main bhi muskuraye hain
saabit kadam rahe hain masayeb ke ru-ba-ru
hum imtehaan-e-zeesat main awwal hi aaye hain..
Urdu |
10Muddat ke baad dekh kar uss shakhs ko Munir
Ek baar dil tau dharka magar phir sambhal gaya..
Urdu |
70Koi aankhon aankhon se baat karta hai
koi aankhon aankhon mein mulaqat karta hai
mushkil hota hai jawab dena
jab koi khaamosh reh kar sawal karta hai..
Urdu |
11Mohsin gareeb log to tinkon ka dher hain
malbe mein dabb gaye to kabhi paani mein beh gaye..
Urdu |
20पगड़ी अपनी सँभालिएगा 'मीर'
और बस्ती नहीं ये दिल्ली है ..
Hindi |
10Toot na jaaye tujh par mere pyaar ki shiddat Faraz
tu samandar ki tarha khamosh na raha kar..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Meri Tabaahee Ka Ilzaam Ab Sharaab Pe Hai Main Aur Karta ..
- Kal Dekho Bhool Na Jaana Subha Jaldi Uth Jaana Taaze Paani Se ..
- The Best Thing Is To Do The Right Thing; The Next ..
- It S The New Year Eve Time To Cheer For The Old ..
- Zaroorat Aur Zehmat Ne Gumraah Kar Diya Warna Iraade Hum Bhi ..
- Your Devotion To Duty Will Always Be An Inspiration To Us Wishing ..
- You Are My Sweet Friend HO NA I Don T Want You To ..
- You Don T Need Legs To Walk What You Need Is Courage ..
- Apne Hone Ka Pata De Dena Kabhi Guzro To Sada De ..
- Paash Paash Ho Jaein Ab To Ye Maflooj Sochein Rooh Pe Koi ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.