Mujhe kyun rokte ho uski pooja se
Usay koi nahi rokta ke woh devta na lage..

31

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Har tarike se bhulana chaha magar,
har khayal se paida, tera khayal hota hai..

21

Hindi |

Be-Faida hai Zeest main Ahbaab ka hajoom
Ho pekar-e-Khaloos to kaafi hai ek shakhs..

82

Urdu |

Saleeqa hi nahi shaayed usey mehsoos karne ka
jo kehta hai Khuda hai to nazar aana zaroori hai..

00

Urdu |

Aa jaa ke abhi zabt ke mausam nahi guzra
aa jaa ke pahaaron pe abhi baraf jami hai
khushbu ke jazeeron se sitaron ke jadoon tak
iss shehar mein sab kuch hai bas teri kami hai..

10

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Bujh chuke chiraag dairo haram ke,
Dil jalaao ki roshni kam hai..

10

Urdu |

Jaane kyun yeh kambakht nazar lag jaati hai
haseen raaton ke baad gham ki dhoop chaa jaati hai
kyun nahi thehar jaata hai yeh waqt us mod par
jahaan mere alfaazon se unke labo pe hansi aa jaati hai..

30

Urdu |

Mujh se hogi nahi duniya yeh tijarat dil ki
main karun kya ke mera zehan hai khawabon waala..

11

Urdu |

Naamaabar tu hi bataa tune to dekhe honge
kaise hote hain vo khat jinka jawaab aataa hai..

20

Urdu |

Kuch apni galtiyon ka azala karo Wasi ,
yun nafraton ko dil mein pala na karo Wasi ,
seedha sa ik sawal hai seedha jawab do,
yun muskura ke mujh ko na tala karo Wasi ,
alfaz gira dete hein jazbat ki qeemat,
jazbat ko lafzon mein na dhala karo Wasi ,
sambhle hue logon ke girne ki fikr choro,
jo gir rahe hain unko sambhala karo Wasi ..

20

Urdu |

Zaroorat aur zehmat ne gumraah kar diya
warna iraade hum bhi nek rakhte the..

20

Urdu |

shayari.jpg

Yeh to sach hai ke sar-e-koocha-o-bazaar bike
yeh bhi sach hai ke tere naam pe har baar bike
apni auqaat to ek jins-e-giraan si bhi na thi
tere kooche main to aa aa ke khareed-daar bike..

11

Urdu |

Recommended for You »

  1. Raat Ne Chadar Samet Li Hai Suraj Ne Kirne Bikher Di ..
  2. इस शहर में सच बोलना गुनाह है या ख़ुदा ज़ुबाँ ..
  3. Hue Kitne Fanha Is Ishq O Khumaar Mein Ik Aur Jaam De Saaqi ..
  4. Just Because I Freak Out Doesn’t Mean You Have To ..
  5. कबीर सालिगराम का मोहिं भरोसा नाहिं काल कहर की चोट में ..
  6. Learning Is A Weightless Treasure You Can Always Carry Easily ..
  7. साक़ी के हाथ में पैमाना हो तो महफ़िल में सुरूर ..
  8. Dil Ko Pata Tha Woh Jaroor Aayegi Dil Ko Pata Tha ..
  9. Yaa Rabb Talafi Karna Mere Gunaahon Ki Shaayad Kal Ki Subha Mere ..
  10. कितनी झूठी होती हैं मुहब्बत की कसमें देखो तुम भी जिंदा ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.