62Tanhaaion mein baith kar kya sochte ho tum
hum ko bhi kuch batao pareshaan hum bhi hain..
Urdu |
40Yeh raaste bhi ajeeb hote hain
bas apne apne naseeb hote hain
rehte hain jo nighahon se door
woh hi dil ke bahut kareeb hote hain..
Urdu |
10Isse pahle ke hawaa shor machaane lag jaaye,
Mere Allah, Meri khaak tthikaane lag jaaye
Ghere rahte hai.n kaii khwaab meri aankho.n ko,
Kaash kuchh der mujhe neend bhi aane lag jaaye
Saal bhar Eid ka rastaa nahi dekha jaata,
Woh gale mujhse kisi aur bahane lag jaye
- Dr. Rahat Indori
Urdu |
61Zindagi , main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
tu jahan mujhse kahegi main utar jaaoonga..
Hindi |
00Saleeqa hi nahi shaayed usey mehsoos karne ka
jo kehta hai Khuda hai to nazar aana zaroori hai..
Urdu |
11Hum ne kaha agar bhool jao humein to kamal ho jae
Hum ne to faqat baat ki, tum ne kamal kar diya..
Urdu |
30Yeh din yeh raat mujhe achche se lagte hain
Tumhe sochoon to saare silsile achche se lagte hain
bahut door talak chalna phir bhi wahi rehna
mujhe tum se tum tak ke faasle achche se lagtay hain..
Urdu |
10Raaste badal jaate hain, manzilein badal jaati hain,
kyun nahin badalte dil jo taqdeerein badal jaati hain,
dil wahi rehta hai, yaadon ki annginat parchaaiyaan le ke,
aankhon ki nami chupa kar, nazrein badal jaati hain,
rooh rehti hai har lamha ashk-baar, lab hanste hain,
bahar aur andar ki kis tarah fizaaein badal jaati hain,
koi hota hai rafta-rafta zindagi se door, bahut door,
haathon ki yeh lakeerein kyun aksar badal jaati hain..!!
Hindi |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
40Talaash meri thi aur bhatak raha tha woh
dil mera tha aur dharak raha tha woh
pyaar ka taalluq ajeeb hota hai Faraz
pyaas meri thi aur sisak raha tha woh..
Urdu |
130Tamaam umar mein har azaan ke baad
ik imtihaan se guzri hun main har imtihaan ke baad
khuda kare ke kahien aur gardish-e-takdeer
kise ka ghar na ujre mere makaan ke baad..
Urdu |
01Dekh liya hai chehra tumhara ab aaftaab kis ko chahiye
akhein kyun moond loon azaab kis ko chahiye
chup-chaap bas khare raho paas tum humare
kis ne kiya sawal aur jawab kis ko chahiye..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Santa Was In Tears After Receiving A Rakhi Why?? Because ਪ੍ਰੀਤੋ ਨੇ ..
- You Can T Get Something For Nothing ..
- वो छोड़ गई मुझे तनहा यादों में जिसको हर दम ..
- Kaise Nibhein Nibal Jan Kari Sablan Saun Gaer Rahiman Basi Saagar ..
- बन्दे ना होंगे जितने खुदा है खुदाई में किस किस खुदा ..
- Here S Good News For Bald Heads They Say God Made Perfect ..
- You Are What Your Deep Driving Desire Is As Your Deep ..
- Tanhaai Mein Muskuraana ISHQ Hai Ek Baat Ko Sabse Chupaana ISHQ ..
- Santa Yaar Banta Hum Dono Mein Kya Rishta Hai? Banta Jo ..
- Girls Misuse It Models Sell It Photographers Cage It Doctors Advice It Death Freezes ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.