30Zakham itne gehre hain izhaar kya karein
hum khud nishana ban gaye hain waar kya karein
mar gaye hum magar khuli rahi aankhein
ab is se zyada unka intezaar kya karein..
Urdu |
00Yun bikharti hain kaakulein uski
jaise sailaab-e-noor aata hai..Details:
kaakul - strand of hair
Urdu |
11Yeh to sach hai ke sar-e-koocha-o-bazaar bike
yeh bhi sach hai ke tere naam pe har baar bike
apni auqaat to ek jins-e-giraan si bhi na thi
tere kooche main to aa aa ke khareed-daar bike..
Urdu |
10Sunana sahil pe ja ke wafa ke fasaane magar
kabhi kirnon ka raet par paighaam na likhna..
Urdu |
81Hujoom-e-gham meri fitrat badal nahi sakta
main kya karoon, meri aadat hai muskuraane ki..
Urdu |
31बहुत जल्दी सीख लेते हैं ज़िंदगी का सबक
गरीबों के बच्चे बात-बात पर ज़िद नही करते..
Hindi |
10gair kya janiye kyon mujhko bura kehte hain
aap kehte hain jo aisa to bajaa kehte hain..
waakai tere iss andaaz ko kya kehte hain
na wafa kehte hain jiss ko na jafa kehte hain..
ho jinhen shaq wo karein aur khudaon ki talaash
hum to insaan ko duniya ka khuda kehte hain..
teri suratt nazar hai teri surat se alaag
husn ko ahal-e-nazar husn numa kehte hain..
shikawe hizr kare kiss dil se
hum khud apne ko bhi apne se juda kehte hain..
teri rudade sitam ka hai baya naa-mumkiin
fayeda kya hai magar yun zaraa kehte hain..
log jo kuch bhi kahein teri sitam koshi ko
hum to in baaton ko achchha na bura kehte hain..
auron ka tajurba jo kuchh ho magar hum to "Firaq"
talkhie zist ko jeene ka mazaa kehte hain..
- Firaq Gorakhpuri
Urdu |
10तेरे दौर ऐ रहबरी में यही सुबह शाम होगा
- Vikas Umrao
कहीं बस्तियां जलेंगी कहीं कत्ल ऐ आम होगा..।
Hindi |
51Aise zakhmon ka kya kare koi
jinko marham se aag lag jaye..
Urdu |
10Thukra ke usne mujhko kaha ke muskurao
main hans diya aakhir sawaal uski khushi ka tha
maine khoya woh jo mera tha hi nahi
usne khoya woh jo sirf uss ka tha..
Urdu |
10Aa jaa ke abhi zabt ke mausam nahi guzra
aa jaa ke pahaaron pe abhi baraf jami hai
khushbu ke jazeeron se sitaron ke jadoon tak
iss shehar mein sab kuch hai bas teri kami hai..
Urdu |
21Ye ab khulaa hai ki koi bhi manzar mera na tha
main jis mein reh raha tha wahi ghar mera na tha..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Don T Burn The Candles At Both Ends ..
- This Employee Is Depriving A Village Somewhere Of An Idiot ..
- If You Know You Have To Carry A Goat Don T Wait ..
- हसरतों ख़्वाहिशों को हक़ीक़त कर दे कर दे आसमां ..
- Rango Ke Tyohar Mein Sabhi Rango Ki Ho Bharmar Dher Saari ..
- A Haryanvi Jaat Recently Opened Up A New Chinese Restaurant ..
- I Listen To My Stomach It Tells Me When I Am ..
- Kal Rat Mere Dost Ke DADA G Uske Sapne Me ..
- The Value Of Life Lies Not In The Length Of ..
- थोड़ा सपनों की परियों की दुनिया में रहने दो हकीकत से ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.