Tere ashkon mein dhal ke aaonga
ab main soorat badal ke aaonga
dekhti rahogi rasto par tum
aur main badal pe chal ke aaonga..

02

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Bebas kar deta hai kaanoon-e- mohabbat mujhe
warna tujhe itna chahun ke inteha kar dun..

00

Urdu |

Bichar kar khat bhi na likha udaas yaaron ne
kabhi kabhi ki adhoori mulaqaat se bhi gaye..

30

Urdu |

बहुत जल्दी सीख लेते हैं ज़िंदगी का सबक
गरीबों के बच्चे बात-बात पर ज़िद नही करते..

31

Hindi |

Udasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
woh chaahta to mere saath chal bhi sakta tha,
woh shakhs ke jise tu ne, chhorrne mein jaldi ki,.
tere mizaaj ke saanche mein dhal bhi sakta tha,
woh jald-baaz khafa ho ke chal dia werna,
tamam maslon ka koi hal nikal bhi sakta tha,
anaa ne haath uthaane hi na diye werna,
meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha,
tamaam umer tera muntazir raha woh ek shaks,
yeh aur baat ki woh rassta badal bhi sakta tha..

110

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Bagaer jaane pehchane iqraar na kijiye
muskura kar dilo ko beqraar na kijiye
phool bhi de jaate hain zakham gehre kabhi kabhi
har phool par yun aetbar na kijiye..

30

Urdu |

Aaj fir tootengi tere ghar ki nazuk khirkiyan
aaj ek deewana tere shehar mein dekha gaya..

21

Urdu |

Main neend ka shaukeen toh nahi, lekin
kuch khwaab na dekhu toh guzaara nahi hota..

41

Hindi |

Mohabbat ki imaarat gir gayi hai
koi malbe pe baitha ro raha hai
hawa patton se sir takra rahi hai
tere jane ka maatam ho raha hai..

30

Urdu |

Kitna pyaar diya usse par mila kuch bhi nahi
itni gehri chaahat ka haasil-o-hasool kuch bhi nahi

woh humse khafa the to jaan nikal gayi thi humaari
hum unse khafa hain to unko malaal kuch bhi nahi

is kadar dukh diye hain na jaane kis khata par
par hum bhi sabar kar gaye aur kiya sawaal kuch bhi nahi

uski khushi mein hansne waale khaas hain uske liye
dukh mein uske saath hum, humaari misaal kuch bhi nahi..

40

Urdu |

shayari.jpg

Ajab baat hai woh mujhse khafa bhi raha
woh doston se mera haal poochta bhi raha
ajeeb rang mein ki usne guf-t-gu mujhse
labon pe chup thi nighaon se bolta bhi raha..

20

Urdu |

Recommended for You »

  1. Is Saadgi Pe Kaun Na Marr Jaaye Ae Khuda Ladte Hain ..
  2. Rishton Ki Dori Kamzor Hoti Hai Aankhon Ki Baatein Dil Ki ..
  3. A Bus Station Is Where A Bus Stops A Train Station ..
  4. Aapki Dosti Aapki Wafaa Hi Kaafi Hai Tamaam Umar Yeh Aasraa ..
  5. Old Habits Die Hard ..
  6. Mujhse Ek Baat Bahut Talakh Kahi Thi Usne Baat To Yaad ..
  7. Sometimes Someone Says Something Really Small And It Just Fits Right ..
  8. Arz Kiya Hai Aajj Gf Ne Kiss Kiya Wah Wah Aaj Gf Ne ..
  9. Reverence For God Is The Beginning Of Wisdom & It Cannot ..
  10. Popcorn Ki Khushboo Mungfali Ki Bahaar Lohri Ka Tyohaar Aane Ko ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.