20Haath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi woh jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzre hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hain rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi
Urdu |
00Jiski aarzoo thi woh dilbar na mila
barso jiska intezaar kiya woh pal na mila
ajeeb khel hai yeh mohobbat ka
kisi ko hum na mile aur koi humein na mila..
Urdu |
20Sab ke honton pe tabassum tha merey Qatal key baad
Jaane kiya soch ke rota raha Qatil Mera..
Urdu |
00Tujh se darkaar mohabbat hay mohabbat ke ewaz
Main nahi chaahta tujh pe koi ehsaan rahe..
Urdu |
20Teri duniya mein ya rabb zeest ke saamaan jalte hain
faraib-e- zindagi ki aag mein insaan jalte hain..
Urdu |
30Hum sa aehl-e-dil tujhe kahan milega
jo tere sitam bhi sahe aur tujhe dua bhi de..
Urdu |
60होता इन्हें यकीन गर जन्नत में हूरों का
ये वाइज़-ओ-शेख कब के मर चुके होते..
Urdu |
10Saath chalte kafile se is liye gafil raha,
manzilon ke baad bhi koi meri manzil raha.
woh masiha tha ya katil ya bewafa,
woh har ek surat mein pyaar ke kabil raha.
us se izhar-e- mohabbat kar na paye lab kabhi,
ek jara sa kaam tha umar bhar mushkil raha.
aap isko kya kahenge behisi ya badkismati,
doobne wale ke bilkul samne sahil raha.
ek mohabbat de na paya de gaya sau gham humein,
woh mera mehboob bhi kya dariya dil raha.Details:
Gafil - negligent/careless
Urdu |
20Mujhe khushboo ki taraha baat uraane wale
tujh mein pehlay to na the rang zamanay wale
apni aasteenon mein chupaye hue khanjar aaye
mujh se yaaron ki taraha haath milaane wale..
Urdu |
70Mumkin ho aap se to bhula dijiye mujhe
pathar pe hoon lakeer mita dijiye mujhe
har roz mujh se taaza shikaayat hai aapko
main kya hoon ek baar bata dijiye mujhe..
Urdu |
100Hum har roz udaas hote hain aur shaam guzar jaati hai
kisi roz shaam udaas hogi aur hum guzar jaayenge..
Urdu |
00Theher-theher ki bahut dilkusha hai yeh manzar,
zaraa main dekh to lu taabnaki-e-shamsheer..
- IqbalDetails:
taabnaki-e-shamsheer - shine of sword (talwaar ki chamak)
Urdu |
♥ Recommended for You »
- December 30 December 31 11 59 55 11 59 56 11 59 57 11 59 58 11 59 59 01 January Happy New Year Don Ko Intezaar Karne Ki ..
- Like Bread And Butter Like Shirt And Button Like Printer And Paper Like ..
- Na Dekh Aasman Ko Itni Hasrat Se Ae Insaan Kisi Parindey Ne ..
- Welcome To Sweet Dream Airlines All Passengers On Bed Be Ready As ..
- Ret Ki Zaroorat Har Registaan Ko Hoti Hai Sitaaron Ki Zaroorat ..
- One Day Man Asked GOD What S The Difference Between Your LOVE And ..
- Aaye Nandi Aaye Bhoot Bhole Ki Toli Albeli Anoop Kisi Ki Mundi ..
- Mrs Dahi & Bhalla Request The Pleasure Of Ur Company To ..
- Night Has Gone And Moon Too Sun Has Arrive With The ..
- Let The Most Beautiful Dream Come To You Tonight Let The ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.