61Zindagi , main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
tu jahan mujhse kahegi main utar jaaoonga..
Hindi |
31Lagtaa nahi hai dil mera ujre dayaar mein
kiss ki baani hai aalame-naapaaidaar mein
Umar-e-daraaz maang kar laye the char din
do aarzoo mein kat gaye, do intezaar mein
Keh do in hasraton se kahiin aur jaa baein
itnii jagah kahaan hai dil-e-daaghdaar mein
Kitna hai badnaseeb zafar dafan ke liye
do gaz zameen bhi naa mili kue-yaar mein.. - Bahadur Shah Zafar, the last Mughal emperor
Urdu |
00Tujh se darkaar mohabbat hay mohabbat ke ewaz
Main nahi chaahta tujh pe koi ehsaan rahe..
Urdu |
21Makhsoos dilon ko Ishq ke ilham hotey hain
Mohabbat moajiza hai, mojazey kab aam hote hain..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
20Woh wafa na nibha saka ye aur baat hai,
magar jo kiye they uss ne wo vaade ghazab ke they..
Urdu |
00Aa ke le ja meri aankh ka pani mujh se
kyun hasad karti hai daryaon ki rawani mujh se
gosht nakhun se alag kar ke dikhaya maine
uss ne pooche the judaai ke maine mujhse..
Urdu |
00Saleeqa hi nahi shaayed usey mehsoos karne ka
jo kehta hai Khuda hai to nazar aana zaroori hai..
Urdu |
00Ab jis ke bhi dil mein aae wohi paae roshni
Hum ne to dil jala kar sar-e-aam rakh diya..
Urdu |
10Kya mazaa deti hai bijlee ki chamak mujhko Faraz
mujhse lipte hain mere naam se darne waale..
Urdu |
00Theher-theher ki bahut dilkusha hai yeh manzar,
zaraa main dekh to lu taabnaki-e-shamsheer..
- IqbalDetails:
taabnaki-e-shamsheer - shine of sword (talwaar ki chamak)
Urdu |
00Tere bagair kabhi chaein se basar na hui
yeh aur baat ke iss ki tujhe khabar na hui
main kehkashan mein bhi tujhko talash kar leta
yeh kehkashan bhi magar teri rahguzar na hui..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Boss Pichle 6 Mahino Mein Tumne Kitni Chhutiyan Li Hain Kabhi ..
- If You Lose Money At The Horse Races It Doesn T Mean ..
- Aansuon Ko Bohut Samjhaya Ke Yun Na Aya Karo Mehfil Mein ..
- The Most Wasted Of All Days Is One In Which You ..
- How On Earth Are You Ever Going To Explain In Terms ..
- Kaash Kushiyon Ki Koi Dukaan Hoti Humaari Us Se Pehchaan Hoti Bhar Dete ..
- Kiya Sada Dilee Hai Keh Giriftaar E Mohabbat Karte Hain Qafas Main ..
- Santa & Banta Safar Te Ja Rahe See Raste Wichoh Raat ..
- Kabira Khada Baazar Mein Sabki Maange Khair Na Kahu Se Dosti ..
- You Love Someone You Marry Someone Else The One You Marry Becomes ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.