74Unka khwaabon mein aana yeh unka kasoor tha,
unse dil lagaana yeh humaara kasoor tha,
woh aaye the zindagi mein do pal ke liye..
unko zindagi samajh lena yeh humaara kasoor tha.
Hindi |
74Ek dil mere dil ko zakhm de gayaa,
zindagi bhar jeene ki kasam de gayaa,
laakhon mein ek chuna humne jise..
woh kaanto se bhari chubhan de gayaa.
Hindi |
54दर्द कहाँ मोहताज होता है शब्दों का...!!!
- Vikas Umrao
बस दो आंसूं काफी हैं बयाँ करने को...!!!
Hindi |
13Pyaar karo, Pyaar ki koi hadh nahi hoti,
do dilo ke beech sarhad nahi hoti,
dilruba ko to sabhi chaahte hain,
bewafa ko chaahne ki kismat sabki nahi hoti.
Hindi |
82Kitni jaldi yeh mulaaqat guzar jaati hai,
baarish hoti nahi barsaat guzar jaati hai,
apni yaadon se keh do is tarah na aayein..
neend aati nahi aur raat guzar jaati hai.
Hindi |
73जब भी चाहें एक नई सूरत बना लेते हैं लोग
- Vikas Umrao
एक चेहरे पर कई चेहरे सजा लेते हैं लोग
मिल भी लेते हैं गले से अपने मतलब के लिए
आ पड़े मुश्किल तो नज़रें भी चुरा लेते हैं लोग
है बजा उनकी शिकायत लेकिन इसका क्या इलाज
बिजलियाँ खुद अपने गुलशन पर गिरा लेते हैं लोग
हो खुशी भी उनको हासिल ये ज़रूरी तो नहीं
गम छुपाने के लिए भी मुस्कुरा लेते हैं लोग
ये भी देखा है कि जब आ जाये गैरत का मुकाम
अपनी सूली अपने काँधे पर उठा लेते हैं लोग....
Hindi |
63Waqt tera bhi guzar gaya
- Anas Qureshi
Waqt mera bhi guzar gaya
kisi ki eid guzar gayi
koi eid pe guzar gaya..
Hindi |
224Hum rahe na rahe, un logon ko saza milni chahiye.
Yeh 2020 hai, Insaaf ki misaal honi chahiye.
Court tumhara, neta tumhara, thana tumhara
Magar kanoon ko bhi to gunjaaish honi chahiye.
Izzat se zindagi basar karne ki
humein bhi to ijaazat honi chahiye..
#JusticeForUnnao
Hindi |
92Bheegi hui aankhon ka yeh manzar na milega,
moti yeh kisi seep ke andar na milega,
aansu ko kabhi os ka katra na samajhna,
aisa tumhe chaahat ka samander na milega..
Hindi |
51Likhu kuch aaj waqt ka takaza hai,
dard-e-dil abhi taaza-taaza hai,
gir padte hain aansu mere kaagaz per likhte waqt ,
lagta hai kalam mein seyahi kam dil mein dard zyaada hai.
Hindi |
70Mujhe dard-e- ishq ka mazaa maloom hai.
dard-e-dil ki intehaa maloom hai,
mujhe muskuraane ki dua na do yaaro,
mujhe pal bhar muskuraane ki sazaa maloom hai.
Urdu |
20Mehfil-e-jahaan se yun ruksat hue woh
ke ab kis chiraag se shab-e-roshan ho..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Wife Aji Sunte Ho Ghar Me Namak Khatam Ho Gaya He Daal ..
- If The Soul Is Left In Darkness Sins Will Be ..
- Apni Zindagi Tere Naam Kar Doon Khushiyaan Tere Liye Qurbaan Kar ..
- Einstein Newton Maxwell Faraday Kirchoff These Are The People Whose 10 Minute Enjoyment Wasted Our Childhood ..
- Convent School Ke Bache Zoo Me Oh Wow Monkey Is Sleeping ..
- ਮਾਰੂ ਮਹਲਾ ੫ || ਬਿਰਖੈ ਹੇਠਿ ਸਭਿ ਜੰਤ ਇਕਠੇ || ਇਕਿ ..
- प्यार एक हद में अच्छा लगता है अक्सर हद से ..
- Santa Ek Jyotish Ke Paas Kundali Horoscope Dikhaane Gaya Jyotish Tera ..
- When I Was Sad U Were There When I Was Crying ..
- In Life All Failures Are Due To Two Reasons 1 Actionless ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.