90pyaar hai to aansuon ki bhi shaan hoti hai,
pyaar na ho to mehfil bhi shamshaan hoti hai,
saara khel to pyaar ka hai..
warna janaaza aur baaraat ek samaan hoti hai.
Hindi |
1613Apne wajood pe itna to yakeen hai mujhe ki,
koi dooor to ho sakta hai mujhse par
bhool nahi sakta..
Hindi |
40Woh mil jaate hain kahaani ban kar,
dil mein bas jaate hain nishaani ban kar,
jinhe hum rakhte hain apni aankho mein..
kyon nikal jaate hain woh paani ban kar.
Hindi |
80Woh humein bhoolane ki baat karte hain,
zaraa poocho woh humein kab yaad karte hain,
jo karte the kabhi humse pyaar hone ka daava..
aaj akele rehne ki baat karte hain.
Hindi |
32Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
rasta roke khadi hai yahee uljhan kab se
koi poochhe to kahien kya ki kidhar jaate hain
narm alphaz, bhali baatein, muhajjab lehze [polite]
pehli baarish mein hi ye rang utar jaate hain
us dariche mein bhi ab koi nahi aur ham bhi [khidki]
sar jhukaye huye chup-chap guzar jaate hain..
Urdu |
40कितना इख्तियार था उसे अपनी चाहत पर
- Mashqoor Ahmed
जब चाहा याद किया , जब चाहा भुला दिया
बहुत अच्छे से जानता है वो मुझे बहलाने के तरीके
जब चाहा हँसा दिया , जब चाहा रुला दिया ..
Kitna ikhtiyaar tha use apni chahat par
jab chaha yaad kiya, jab chaha bhula diya
bahut achche se janta hai woh mujhe behlane ke tareeke
jab chaha hasa diya, jab chaha rula diya..
Hindi |
34Mohabbat mein laakhon zakhm khaae hain humne,
afsos unhe hum par aitbaar nahi,
mat poocho kya guzarti hai dil par
jab woh kehte hain humein tumse pyaar nahi.
Hindi |
40Har ek jazbaat ko zubaan nahi milti,
har nek aarzoo ko dua nahi milti,
muskaan sajaaye rakho to duniya hai saath..
aansu ko to aankh mein bhi panaah nahi milti.
Urdu |
40Mayoos hu sochkar, kuch logo ko apna na bana saka.
Imaarat to banadi maine par use ghar na bana saka.
Hindi |
20Jab-jab unse milne ki umeed nazar aai,
mere pairon mein zanjeer nazar aai,
gir pade aansu aankho se,
har aansu mein teri tasveer nazar aai.
Hindi |
60Maine usko salaam likh bheja,
hal-e-dil tamaam likh bheja,
maine poocha tere honth kaise hain?
usne jaam likh bheja
maine poocha tere baal kaise hain?
usne kudrat ka inaam likh bheja
maine poocha kab hogi mulaqaat?
usne qayamat ki shaam likh bheja
maine poocha itna tadpaate kyon ho?
usne pyaar ka imtehaa likh bheja
maine poocha tumhe nafrat hai kis se?
zaalim ne mera naam likh bheja.
Hindi |
20हमें भी राहत मिल जाती
वो खुश हैं
बस इतना बता दे कोई ..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- You Want And You Get That Is Luck You Want And ..
- Policewala Agar Juice Ke Thele Par Juice Pee Raha Ho To Dekhne ..
- Aaj Ravan Ki Barsi Hui Hai Unki Yaad Mein Yeh SMS ..
- Judge You Are Crossing The Limits Lawyer Kaun Saala Aisa Kehta ..
- Why Do Engineers Confuse Halloween And Christmas? Because Oct 31 = ..
- Problems And Difficulties Are Just Like A Washing Machine It Twist ..
- हमरा झगड़ा रहा ना कोई पंडित मूला छाड़े दोऊ पंडित मूला जो ..
- People Die Younger Because God Loves Them A Lot You Are Alive ..
- Sadak Par Roshni Sahi Fir Bhi Sambhal Kar Chaliye Yahaan Har Jurm ..
- When You Realize The Value Of All Life You Dwell Less ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.