20Jungle mein is tarha ki udaasi na thi kabhi
ae Qaarwaan thehar koi saathi bichar gaya..
Urdu |
10Mera hunar to meri jus-ta-ju mein rehta hai
ajab azaab-e-safar hai lahoo mein rehta hai
kisi ko dekho to meezan-e-harf mein par-kho
nasab ka wazn to har guf-ta-gu mein rehta hai..
Urdu |
20Bahut dino baad yeh murad poori hogi
- Surendra Chauhan
tum samne baitho to har baat poori hogi
na guzarana sar jhukake humare samne se
agar na dekh paaun chehra aapka kabhi
to tamaam zindagi adhuri hogi..
Hindi |
10Woh din.. woh mehfilein.. woh shagufta mijaaz log
Mouj-e-Zamana le gai jaane kahan-kahan..
Urdu |
30Mohabbat mein Jigar guzre hain aise bhi maqam aksar
Ke khud lena padha hai apne dil se inteqaam aksar.. - Jigar Moradabadi
Urdu |
20Ye kaisi shart lagaayi hai meri aankhon ne
ke tujhko sochna chhorun to neend aayegi..
Urdu |
20Naakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya
itne hue zaleel ke khuddaar ho gaye..
Urdu |
20Bicchar gaya hai to ab us ka saath kia maangoon
zaraa si umar hai gham se nijaat kia maangoon
woh saath hota to hotin zarooratein bhi bahut
akelee jaan key liye kaayenaat kia maangoon..
Urdu |
50Mujhe dard-e- ishq ka mazaa maalum hai,
Dard-e-dil ki inteha maalum hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maalum hai..
Urdu |
11Bade wasooq se duniya fareb deti hai
bade khaloos se hum aitbar karte hain..
Urdu |
10Mohabbaton ki ye waardatein koi sunega to kya kahega
yeh behki-behki humari baatein koi sunega to kya kahega
raqaabaton ki qayaamaton se khandarein tabdeel ho rahi hain
humari chaahat ki kaa-e-naatein koi sunega to kya kahega
tumhare khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne
yeh ankahi si tumhari baatein koi sunega to kya kahega
hum hi hain mazloom hum hi hain zaalim hum hi hain maqtool hum hi hain qaatil
hum hi hain mohre hum hi hain baesatein koi sunega to kya kahega
tere tasavvur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon mein
beghair dhole ki ye baaraatein koi sunega to kya kahega
Urdu |
21Har tarike se bhulana chaha magar,
har khayal se paida, tera khayal hota hai..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- Apne Dushman Ko Hazaar Mouqay Do Ke Woh Tumhara Dost ..
- Biwi Mujhe Samajh Nahi Aata Paisae Kahan Rakhun Jahan Chupati Hun ..
- Bukkaan Wich Nahi Paani Rehnde Jadon Baddal Meeh Varsaaunde Ne Aksar Bhul ..
- 2 Soldiers Capture An Enemy & Gave Him A Dice & ..
- Our Body Is The Bodhi Tree And Our Mind A Mirror Bright Carefully ..
- Any Fool Can Make Things Bigger More Complex And More Violent It ..
- Notebandi को हुआ एक साल Paytm Bhim और Tez ..
- Koi New Message Hai Kya ? Agar Hai To To Please DELETE Kar De Kyunki Bhejna ..
- One Must Learn The Art Of Balancing Of Living In The ..
- Colors Are Brightening Up The Scene The Water Sprinkling Up High The ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.