20Hum ek umar se wakif hain ab na samjhao
Ke lutaf kya mere meharbaan sitam ke hain..
Urdu |
11Aakhir zindagi ne bhi aaj pooch liya mujh se
Kahan hai woh shakhs jo tujhe mujh se bhi azeez tha..
Urdu |
11Maine us-se poocha ke dhoop mein baarish hoti hai
Woh hanste-hanste rone lagi aur dhoop may baarish hone lagi..
Hindi |
10Tujhe ye shauq ke mohabbat ki bheekh mangoon main
meri ye zidd ke taqaza mera usool nahin..
Urdu |
00Na ghubar mein na gulab mein mujhe dekhna
mere dard kee aab-o-taab mein mujhe dekhna
kisi dhun mein tum bhee jo bastiyon ko tyag dou
isee rah-e-khana-e-kharaab mein mujhe dekhna..
- Azeez Jehan (Ada Jafri)
modern-age First Lady of Urdu Poetry
Urdu |
30Har lafz ko hakayat banaya
Har manzar mein tujhe paya
Khawaishon ke sahil par
Ek poudha yaadon ka lagaya
Phir bhi Tamaam umar humne
Apni rooh ko payasa paya..
Urdu |
90Teri mehfil se uthe the kisi ko khabar na thi
bas tera mud-mud ke dekhna humein badnaam kar gaya..
Hindi |
00Doobne ko laazame nahi ho koi tondie toofan
ek halki mauj bhi dabo deti hae safeene aksar..
Urdu |
369दिल को जला कर दी है ज़माने को रौशनी
जुगनू पकड़ कर हमने उजाला नहीं किया ..
Hindi |
50Mere Daaman mein to kaanton ke siwa kuch bhi nahin
Aap Phoolon ke kharidaar nazar aate hain..
Urdu |
72Duniya se dil laga kar
Duniya se kya milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..
daulat ho ya hukumat
taakat ho ya jawaani
har cheez mitne waali
har cheez aani jaani
yeh sab guroor ik din
mitti mein jaa milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..
aataa nahi palat kar
guzra hua zamaana
kya khwaab ka bharosa
kya maut ka thikaana
yeh zindagi ganwaa kar
kya faayeda milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..
Urdu |
10Jungle mein is tarha ki udaasi na thi kabhi
ae Qaarwaan thehar koi saathi bichar gaya..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Have A Heart That Never Hates Have A Smile That Never ..
- Maut Ek Manzar Hai Jise Hum Dekh Sakte Hain Aur Ziindagi ..
- Heart Is A Thing Which Everyone Likes Heart Is A Thing ..
- Give An Inch And They Ll Take A Mile ..
- We Met It Was By Chance We Met Again It Was ..
- Zindagi Mein Do Logon Ka Bahut Khayaal Rakhna Ek Woh Jisne ..
- I Have Made It A Rule Never To Smoke More Than ..
- Rangon Se Bhi Rangeen Zindagi Ho Tumhari Rangeeli Rahe Yeh Bandagi ..
- Love Letter From Punjaban To Punjabi O Mere Dil De Chaen ..
- हर रंग एक एहसास है थोड़ा महसूस कीजिए होली का ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.