20Aksar woh meri nazm ka unwaan raha hai
lekin woh meri mohabbat se anjaan raha hai
kuch kaha na kabhi is dar se ki bura maan na jaye
magar woh ab isii baat ka bura maan raha hai..
Urdu |
20Apni sochein safar mein rehti hain
us ko paane ki jus-ta-ju dekho..
Urdu |
03Qaid tha dil mein tera hi dard ta-umar ke liye,
Mar rahi thi har aarzu dard ke is safar mein..
Urdu |
20Khwaishon ke bharose kuch dur chale aaye hum
- Laksh Kesa
karni thi tumse kuch baatein vo kar na paye hum
dil mein the armaan dabe jo vo bayaan kar na paye hum
khwaishon ke bharose dur chale aaye hum..
Hindi |
10शेयर बाजार में कीमत उछलती गिरती रहती है
- Vikas Umrao
मगर ये खून ऐ इनसान है कभी महंगा नहीं होगा..
Hindi |
10Woh din.. woh mehfilein.. woh shagufta mijaaz log
Mouj-e-Zamana le gai jaane kahan-kahan..
Urdu |
10Kya mazaa deti hai bijlee ki chamak mujhko Faraz
mujhse lipte hain mere naam se darne waale..
Urdu |
20Yaadon ke haashiye bhi ahem hain buhat Mohsin
deemak lagi kitaab ko aahisata kholiye..
Urdu |
20Mere kabile mein kiss-se sunae jaate hain
naseeb bante nahi banaye jaate hain
baar baar batati hain ye aandhiya humein
charagh bhujte nahin bhujaye jaate hain..
Urdu |
64कुछ और तो नहीं मेरे गरीब दामन में,
अगर कबूल हो तो जिन्दगी दे दूँ ।
Hindi |
04बन्दे ना होंगे जितने खुदा है खुदा ई में,
किस किस खुदा के सामने सजदा करे कोई..!
- यास यगाना चंगेजी
Hindi |
00Maut apni na amal apna
kho gaya shorishe-geti mein karina apna
nakhuda door, hawa tez, karin kaame-nahang
waqt hai fenk de lehron mein safeena apna
arsa-e-dah ke hungaame tahe-khwaab sahi
garm rakh aatishe-pekaar se seena apna
saakiya ranj na kar jaag uthegi mehfil
aur kuch der utha rakhte hain peena apna
beshkeemat hain yeh gham haaye- mohabbat mat bhool
zulmate-yaas ko mat saunp khajeena apna.. - Faiz Ahmed FaizDetails:
Amal - work
shorishe-geti - hue and cry of the world
karina - method
nakhuda - driver of boat
karin - near
kaame-nahang - mouth of crocodile
safeena - boat
arsa-e-dah - span of life
tahe-khwaab - not visible due to sleep
aatishe-pekaar - fire of struggle
haaye-mohabbat - sorrow of love
zulmate-yaas - despair alike darkness
khajeena - treasure
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Never Let The Things You Want Make You Forget The Things ..
- You Can T Get Something For Nothing ..
- Life Sometimes Takes Unknown Turn Don T B Afraid 2 Travel It Someday ..
- Aakash Ke Taro Me Khoya Hai Jaha Sara Lagta Hai Pyara ..
- Aaye Hain To Guftgu Kijiye Dard Hai Be Intehaan Kuch To Marham ..
- Wajud Nahi Woh Hasti Kis Kaam Ki Mazaa Na De Woh ..
- Kitna Pyaar Diya Usse Par Mila Kuch Bhi Nahi Itni Gehri ..
- La Ilaha Ki Nafi Aur Illallah Ka Isbat Zabaan Se Ada ..
- Forgetting You Is Hard To Do Forgetting Me Is Upto You Forget ..
- Santa Jalebi Bech Raha Tha Magar Keh Raha Tha Aaloo Le ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.