00Hazaar tu rasm-o-raah chore, hazaar main zabt-e-shoq kar lu
magar mohabbat ka rabt-e-beham na tere bas mein, na mere bas mein..
Urdu |
00Hum ko maloom the choron ke sab thikaane magar
Shareek-e-Juram na hote to mukhbari karte..
Urdu |
30Mohabbat ki imaarat gir gayi hai
koi malbe pe baitha ro raha hai
hawa patton se sir takra rahi hai
tere jane ka maatam ho raha hai..
Urdu |
103Apni zindagi tere naam kar doon
khushiyaan tere liye qurbaan kar doon
chahta hoon ke tu zinda rahe
teri maut apne naam kar doon..
Urdu |
51Kisi tarang kisi serkhushi mein rehta tha
ye kal ki baat hai dil zindagi mein rehta tha
bas ek shaam khamoshi se toot gaya
humein jo maan teri dosti per rehta tha..
Urdu |
20Kiss-se teri nazar ne sunaaye na phir kabhi
hum ne bhi dil ke daag dikhaaye na phir kabhi
ae yaad-e- dost aaj tu ji bhar ke dil dukhaa
shaayad ye raat hijr ki aaye na phir kabhi..
Urdu |
22झूठ वाले कहीं से कहीं बढ़ गये
और मैं था कि सच बोलता रह गया ।
– वसीम बरेलवी
Hindi |
61Khuda se jab tumko maanga tha
to ye nhi socha ki judai bhi sehni padegi apno ki
chalo chhod bhi diya tumhare liye unko
par aaj tak samajh nahi aaya ki tum mile bhi ya nahi..
Hindi |
32Meri khamoshi ko galat rang de kar
ik shaks mujhe shehar mein badnaam kar raha hai..
Urdu |
30Na hota maikhana to deewane kahan jaate
na hota saaqi to paimaane kahaan jaate
Sari duniya mein agar andhere hi hote
yeh batao ke fir hum parwaane kahan jaate
Sabhi ko agar sab apne chahne wale mil jaien
socho aise mein fir yeh begaane kahan jaate
Na hoti teri gali to ae jaan-e-wafa
hum deewane raat bitane kahan jaate
Yeh mehfil hi apne liye ghaneemat hai yaaro
yeh na hoti to fir apni ghazal sunane kahan jate
Maikada hi apne liye hai behter warna tu ae Sagar
Fir dil ke dardon ko chuphane kahan jaate..
Urdu |
00Duniya ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke..
Urdu |
30Dar badar ki saza se darte hain
khushak patte hawa se darte hain
aandhiyon se kabhi mohabbat thi mujhko
ab to baad-e-saba se darte hain..Details:
Baad-e-saba means Subah ki hawa or morning breeze..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- May The Rays Of Diwali Diyas Illuminate Our Mind Body And ..
- Fir Na Simtegi Agar Dosti Bikhar Jaaegi Zindagi Zulf Nahi Jo ..
- All Human Beings Have FIVE Senses Some May Have The Sixth ..
- मेरी सोच ले लो मुझसे गरीबी क्या क्या होती है मैं ..
- There Are Three Stages Of Man He Believes In Santa ..
- वीर सीमाओं पर हैं सजक हैं हौंसले बुलंद मुबारक हो ..
- Silence And Reserve Will Give Anyone A Reputation For Wisdom Myrtle ..
- May The Virtue And Wisdom Of Lord Rama Inspire You And Help ..
- Namaskaar Aaj Ki Taazaa Khabar Newspaper Mein Hai So Plz Carry On GOOD MORNING ..
- As I Open My Eyes I Thank God For Allowing Me ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.