Mere aaine mein ek shikast chehra hai
Munsif ke aas-paas ek ilzaam thehra hai

Bhanwar se jaan bachaake idhar aa gaye
Jahaan duur-duur tak bas ek sehra hai

Waar ko bhool jaayenge kisi roz, magar
Chot dil pe hai aur ghaav bhi gehra hai

Aankhon ki nami se dhundli hai nazar
Ya phir naseeb pe chhaaya kohra hai

Ab mere liye maqtal sajao
Suna hai qurbaaniyat ka anjaam sunehra hai.. - Anand Halve

Details:
shikast - defeated; Munsif - judiciary/judge; ilzaam - accusation

Bhanwar - whirlpool; Sehra - desert

Ghaav - wound

Kohra - mist, dhund

Maqtal - place of slaughter or execution

10

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Har nazar nazar mein ek kashish hoti hai,
har dil mein ek chahat hoti hai,
mumkin nahi har ek ke liye Taj Mahal banana,
par har dil mein ek Mumtaz zaroor rehti hai..

10

Hindi |

Koi ye Faraz poochhe yeh junoon nahi to kiya hai
Ke usi ke ho ke reh gaye jo na ho saka humara..

20

Urdu |

Woh hairaan hain humaare zabt pe keh do qaatil inse
jo daaman pe nahi girta woh aansoo dil pe girta hai..

20

Urdu |

Kaise kahein ke usko bhi hum se koi lagao hai
usne to hum se aaj tak koi gila nahi kiya..

30

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Pehlu mein yaar, haath mein jaam sharab ho
Itna bhi aasman ko nahi hai samaa pasand.. - Saba Lakhnavi

00

Urdu |

Zindagi , main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
tu jahan mujhse kahegi main utar jaaoonga..

61

Hindi |

Badi aasaani se dil lagaye jaate hain,
per badi mushkil se waade nibhaaye jaate hain
le jaate hai mohaabat un rahon per
jahan diyye nahi dil jalaay jaate hain..

30

Urdu |

Qaid tha dil mein tera hi dard ta-umar ke liye,
Mar rahi thi har aarzu dard ke is safar mein..

03

Urdu |

Mustaqil mujhi ko dekhti rehti hain
apni nazar pe zara nazar rakhiye janaab..

20

Urdu |

Yeh zindagi hai ke barish hai sangraizoon ki
main toot phoot gya iss mein mubtila ho kar..

10

Urdu |

shayari.jpg

Mere aaine mein ek shikast chehra hai
Munsif ke aas-paas ek ilzaam thehra hai

Bhanwar se jaan bachaake idhar aa gaye
Jahaan duur-duur tak bas ek sehra hai

Waar ko bhool jaayenge kisi roz, magar
Chot dil pe hai aur ghaav bhi gehra hai

Aankhon ki nami se dhundli hai nazar
Ya phir naseeb pe chhaaya kohra hai

Ab mere liye maqtal sajao
Suna hai qurbaaniyat ka anjaam sunehra hai.. - Anand Halve

Details:
shikast - defeated; Munsif - judiciary/judge; ilzaam - accusation

Bhanwar - whirlpool; Sehra - desert

Ghaav - wound

Kohra - mist, dhund

Maqtal - place of slaughter or execution

10

Urdu |

Recommended for You »

  1. Mann Apna Purana Paapi Hai Barson Mein Namaazi Ban Na Saka ..
  2. Santa Sookhe Taalaab Mein Boat Chala Raha Tha Banta Aise Logo ..
  3. Santa Apni Girlfriend Ko I Love U Kehta Hai Aur Gir ..
  4. Lantern In A Soul Love Lights The Lantern In A Soul Laughter ..
  5. Na Jaan Ki Mustakbil Mustaqil Hi Hoga Lakhimpur Kheri Ka Hisaab ..
  6. Teacher What Is The Difference Between A Radio And A ..
  7. You Can’t Talk Of The Ocean To A Well Frog ..
  8. Love Is Like A Bird If You Hold It Tightly It ..
  9. Hi Jaan Kahaan Ho Jaan Kab Miloge Jaan Miss U ..
  10. ਕ੍ਰਿਪਾਨਿਧਾਨ ਕ੍ਰਿਪਾਨ ਗੱਲ ਪਾਈ ਏ ਹਰ ਇਕ ਸਿੰਘ ਪੂਰਾ ਸੰਤ ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.