20Kuch apni galtiyon ka azala karo Wasi ,
yun nafraton ko dil mein pala na karo Wasi ,
seedha sa ik sawal hai seedha jawab do,
yun muskura ke mujh ko na tala karo Wasi ,
alfaz gira dete hein jazbat ki qeemat,
jazbat ko lafzon mein na dhala karo Wasi ,
sambhle hue logon ke girne ki fikr choro,
jo gir rahe hain unko sambhala karo Wasi ..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
01Pehlu se dil ko le ke voh kehte hain naaz se
Kya aayenge ghar mein aap hi jab mezban na ho.. - Lala Madhur Ram Jauhar
Urdu |
40Qatl hua mera yun kishto mein reh-reh kar
- Tahir Khan
kabhi qaatil badal gaya
kabhi khanjar badal gaya..
Urdu |
00Wo ashak ban ke meri chasm-e-tar mein rehte hain
Ajeeb shaks hain paani ke ghar mein rehte hain..
Urdu |
00Mohabbat ka yaaron sila kuch nahi
ek gham ke siwa mila kuch nahi
saare armaan mere jal ke raakh ho gaye
log kehte hain phir bhi jala kuch nahi..
Urdu |
20ये किसका तसव्वुर है ये किसका फ़साना है
जो अश्क है आँखों में तस्बीह का दाना है
आँखों में नमी सी है चुप-चुप से वो बैठे हैं
नज़ुक सी निगाहों में नाज़ुक सा फ़साना है
ये इश्क़ नहीं आसां इतना तो समझ लीजे
एक आग का दरिया है और ड़ूब के जाना है
या वो थे ख़फ़ा हम से या हम थे ख़फ़ा उनसे
कल उन का ज़माना था आज अपना ज़माना है
- जिगर मुरादाबादीDetails:
तसव्वुर - कल्पना
तस्बीह - माला
Hindi |
01Kuch aise dost meri nighah mein hain qatil
ke mujh ko jis se baaz rakhein khud usi pe marte hain..
Urdu |
21Sanson ka toot jana to aam si baat hai Faraz
jahaan apne rooth jaen mout us ko kehte hain..
Urdu |
21वो छोड़ गई मुझे तनहा यादों में
- Sandeep Kumar Bharti
जिसको हर दम माँगा फरियादों में
जो वादे सारे तोड़ गई
खंजर सा दिल में छोड़ गई
नफ़रत तुझसे भी ख़ूब हुई
और सच नफ़रत तुझसे यूँ करता हूँ
जिस राह में तेरा ज़िक्र हुआ
वो राह बदल मैं देता हूँ
फिर कान जो थोड़े खड़े हुए
सुन कर दुनिया की बातें
मैं कुछ - कुछ, कुछ - कुछ सहता हूँ
फिर दिल को संभाले कोने में
ख़ुद से ही यह कहता हूँ
कि जिस राह में तेरा ज़िक्र हुआ
वो राह बदल मैं देता हूँ ..
Hindi |
30Patthar mujhe kehta hai mera chaahne-wala
Main moum hun uss-ne mujhe choo kar nahi dekha
Woh meri masaael ko samajh hi nahi sakta
Jis ne meri aankhon mein samander nahi dekha..
Urdu |
21Yehi mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhe
judaaiyon ko bhi chaaha hai qurbaton ki tarha..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Dekh Liya Hai Chehra Tumhara Ab Aaftaab Kis Ko Chahiye Akhein ..
- Ek Hi Nazar Mein Aap Humaare Mehmaan Ban Gaye Do Baatein ..
- Nazar Milte Hi Kisise Pyaar Nahi Hota Har Milne Wala Kabhi ..
- ये महज़ पल है तो इक पल में ही टल ..
- Ibaadat Gaah Ke Hajoom Se Na Dhoka Ho Rishi Suna Hai Malik E Do Jahan ..
- PA Sir Aap Office Mein Shaadi Shuda Aadmiyon Ko Hee ..
- You Are What Your Deep Driving Desire Is As Your Deep ..
- Nikalna Khuld Se Adam Ka Sunte Aaye The Lekin Bade Beabru ..
- Hum Nahi Ae Baad E Saba Teri Karam Ke Mohtaaj Hum To Khushbu ..
- If You Know You Have To Carry A Goat Don T Wait ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.