32Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
rasta roke khadi hai yahee uljhan kab se
koi poochhe to kahien kya ki kidhar jaate hain
narm alphaz, bhali baatein, muhajjab lehze [polite]
pehli baarish mein hi ye rang utar jaate hain
us dariche mein bhi ab koi nahi aur ham bhi [khidki]
sar jhukaye huye chup-chap guzar jaate hain..
Urdu |
31Jaane kyon is jahaan mein aisa hota hai,
khushi jise hoti hai wahi rota hai,
umar bhar saath nibha na sake jo,
jaane kyon pyaar usi se hota hai.
Hindi |
63Waqt tera bhi guzar gaya
- Anas Qureshi
Waqt mera bhi guzar gaya
kisi ki eid guzar gayi
koi eid pe guzar gaya..
Hindi |
40Mayoos hu sochkar, kuch logo ko apna na bana saka.
Imaarat to banadi maine par use ghar na bana saka.
Hindi |
90pyaar hai to aansuon ki bhi shaan hoti hai,
pyaar na ho to mehfil bhi shamshaan hoti hai,
saara khel to pyaar ka hai..
warna janaaza aur baaraat ek samaan hoti hai.
Hindi |
75Aansuon ko bohut samjhaya ke yun na aya karo,
mehfil mein hamara mazaak na udaya karo,
is par aansu bole mehfil mein tumhe akela paate hai,
isi liye chale aate hai.
Hindi |
37एक बार ही जी भर के सज़ा क्यूँ नहीं देते ?
मैं हर्फ़-ए-ग़लत हूँ तो मिटा क्यूँ नहीं देते ?
मोती हूँ तो दामन में पिरो लो मुझे अपने,
आँसू हूँ तो पलकों से गिरा क्यूँ नहीं देते ?
साया हूँ तो साथ ना रखने कि वज़ह क्या ,
पत्थर हूँ तो रास्ते से हटा क्यूँ नहीं देते ?
Hindi |
130Mene to bhula hi diya tha use
- Raja Kathayat
kambakht dil ne fir yad kar liya
socha to tha naam bhi nahi loonga uska
par jab khuda ne poocha kya chaahiye tujhe
to honto ne bhi bade pyaar se uska naam le liya..
Hindi |
62Badla wafa ka denge badi Saadgi se Hum,
Tum "Hum " se rooth jaaoge aur Zindagi se Hum
Urdu |
41Apne matlab ke alaawa kaun kisi ko poochta hai,
bina rooh ka insaan toh ghar wale bhi nahi rakhte.
Bahut hi mushqil se hota hai teri yaadoon ka kaarobaar,
munaafa to nahi lekin guzaara ho hi jaata hai..
Khudaa karey ki saari umar mujhey manzil na miley ,
badi mushqil se woh raazi hua hai saath chalne ko..
Hindi |
30Bheed itni to nahi thi sheher ke bazaaron mein,
khone waale tu ne kuch deir to dhoonda hota..
Hindi |
50Kash mere bas mein bhi hota tujh se ghafil ho jana,
hum bhi sukoon se rehte be-khabar teri tarah..Details:
Gafil - negligent/careless
Urdu |
♥ Recommended for You »
- A Chinese Couple Mr Hoyo & Mrs Hoyo Had White Twins Babies They ..
- Sweet Socho Smart Socho Achcha Socho Sachcha Socho Pyaaraa Socho I Know It S ..
- Ye Dosti Chiraag Hai Ise Jalaaye Rakhna Ye Dosti Gul Hai Ise Khilaaye ..
- बंधन तें न्यारा रहै बिरला पावे भेद काहे को जप तप ..
- She Got A Mudpack And Looked Great For Two Days Then ..
- The Beauty Of Life Does Not Depend On How Happy You ..
- Ek Dost Ek Dost Ke Liye Kya Hota Hai Shaayad Pyaar ..
- Mausam Chaahe Badalte Rahe Par Yaadon Ke Phool Jaroor Khilenge Samay Badlegaa ..
- Never Buy A Pig In A Poke ..
- If We Are Bound To Forgive An Enemy We Are Not ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.