100Humse chupte kyon ho dost ,
ek din hum andheron mein kho jaayenge,
ki maangoge duaaon mein khuda se..
aur hum sapno mein bhi na aayenge.
Hindi |
80Kaanch ko chaahat thi pathar pane ki,
pal mein fir toot ke bikhar jaane ki,
hat bas itni thi us diwaane ki,
apne hazaar tukdo mein uski hazaar tasveer sajaane ki..
Hindi |
41Aisi bewafaai ki usne..
mohabbat bhi badnaam ho gayi,
apni mohabbat ki itni keemaat vasool ki usne...
ki humaari kabr bhi nilaam ho gayi.
Hindi |
100Friends in heart are the worst tenants.
They capture the heart ,
don't vacate and
if at all they leave,
they just break down the room they live.
English |
32Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
rasta roke khadi hai yahee uljhan kab se
koi poochhe to kahien kya ki kidhar jaate hain
narm alphaz, bhali baatein, muhajjab lehze [polite]
pehli baarish mein hi ye rang utar jaate hain
us dariche mein bhi ab koi nahi aur ham bhi [khidki]
sar jhukaye huye chup-chap guzar jaate hain..
Urdu |
130Bada armaan tha tere sang jeevan bitane ka,
shikwaa rahaa bas tere khamosh reh jaane ka,
deewangi isse badhkar kya hogi,
ki aaj bhi intezaar hai tere aane ka.
Hindi |
60Bahut ajeeb hain yeh bandishen mohabbat ki,
Na us ne qaid me rakha, na hum farar hue.
Urdu |
245Likho to paigaam kuch aisa likho ki,
kalam rone pe majboor ho jaaye..
har lafz mein dard bhar do itna ki,
padhne waala pyaar karne ko majboor ho jaaye.
Urdu |
10Muskuraane ki baat karte ho,
kis zamaane ki baat karte ho,
ik nivaala jutaana mushkil hai,
ghar banaane ki baat karte ho.. - Ashok Verma
Hindi |
32Yun to sadmo mein bhi hans lete the hum,
phir aaj kyun bewajah rone lage hain hum,
barson se hatheli khaali rahi humaari,
phir aaj kyon lagta hai ki sab khone lage hain hum..
Hindi |
91ishq dariya hai jiska saahil nahi hota,
har dil mohabbat ke kaabil nahi hota,
rota woh bhi hai jo dooba ishq ke saagar mein,
aur rota woh bhi hai jise ishq haasil nahi hota.
Urdu |
82Kis raah par jana hai ye kaun janta hai,
kis manzil ko pana hai ye kaun janta hai,
khushi ke do pal milte hain to ji bhar ke jee lo,
kab rooth jaye khud se zindagi ye kaun janta hai..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- Silence Is The Best Answer For All Questions Smiling Is The ..
- Koi Dikha Ke Roye Koi Chupa Ke Roye Humein Rulane Wale ..
- काश एक सिज्दा ऐसा बारगाहे इलाही हो जाए के मेरी तड़प ..
- 6 Logics 1 Make Peace With Ur Past So It ..
- Give A Man A Truth And He Will Think For ..
- The Theory Of Evolution Has Told Us That Future Of A ..
- Har Karz Dosti Ka Ada Karega Kaun Jab Hum Hi Nahi ..
- He Who Has Health Has Hope; And He Who Has Hope ..
- Walking On Water And Developing Software From A Specification Are Easy If ..
- Lovely Days Don T Come To You You Should Walk To Them ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.