11किस आगोश में हैं नहीं जानते
नज़र बस उन्हें ही ढूंढती है
सामने नहीं वो तो क्या
ज़हन में बस उन्हीं की तस्वीर घूमती है ..
Hindi |
70Dolat-e-dard ko duniya se chupa kar rakhna
aankh main boond na ho dil mein dariya rakhna..
Urdu |
10gair kya janiye kyon mujhko bura kehte hain
aap kehte hain jo aisa to bajaa kehte hain..
waakai tere iss andaaz ko kya kehte hain
na wafa kehte hain jiss ko na jafa kehte hain..
ho jinhen shaq wo karein aur khudaon ki talaash
hum to insaan ko duniya ka khuda kehte hain..
teri suratt nazar hai teri surat se alaag
husn ko ahal-e-nazar husn numa kehte hain..
shikawe hizr kare kiss dil se
hum khud apne ko bhi apne se juda kehte hain..
teri rudade sitam ka hai baya naa-mumkiin
fayeda kya hai magar yun zaraa kehte hain..
log jo kuch bhi kahein teri sitam koshi ko
hum to in baaton ko achchha na bura kehte hain..
auron ka tajurba jo kuchh ho magar hum to "Firaq"
talkhie zist ko jeene ka mazaa kehte hain..
- Firaq Gorakhpuri
Urdu |
30Har lafz ko hakayat banaya
Har manzar mein tujhe paya
Khawaishon ke sahil par
Ek poudha yaadon ka lagaya
Phir bhi Tamaam umar humne
Apni rooh ko payasa paya..
Urdu |
12Kya aise kam sukhan se koi guf-ta-gu kare
jo mustaqil sukoot se dil ko lahoo kare
ab to humein bhi tark-e-taalluq ka gham nahi
par dil yeh chahata hai keh aaghaaz tu kare..
Urdu |
53Badla jo waqt gehri rafaaqat badal gai
Suraj dhala to saae ki surat badal gai
Ik umar tak main uski zaroorat bana raha
Phir yun hua ke uss ki zaroorat badal gai..
Urdu |
12Ujaagar hua hai koi kab meri aankhon ke aage
woh din aur the jab tum saath the..
Hindi |
21Main bhi hairan huya ae Dagh ke yeh kya baat hai
Vaada voh karte hai, aata hai tabassum mujhko.. - Nawab Mirza Dagh Dehlvi
Urdu |
160Bahut udaas hai koi tere jaane se
ho sake to laut aa kisi bahane se
tu lakh khafa sahi per ek baar to dekh
koi toot sa gaya tere rooth jane se..
Urdu |
21Tu jaane teri fitrat
- Rashmi Nair
main jaanu meri ibaadat
jab hoga aamna samna inn dono ka
teri fitrat badal jayegi ibaadat mein...... 🙏🏻🙏🏻🙏🏻
Hindi |
31बहुत जल्दी सीख लेते हैं ज़िंदगी का सबक
गरीबों के बच्चे बात-बात पर ज़िद नही करते..
Hindi |
11Ungliyaan log uthaate hain jidhar jaate hain
hum to iss naam se be-namo-nishaan achche the..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- When You Converse Let It Be With The Wise; When You ..
- मेरी ज़रुरत बस तेरी साँसे ..
- Secret To Become Sachin Tendulkar Everybody Wants To Be Like Tendulkar ..
- Hum Charagh E Shub Hi Jab Thehre To Phir Kia Sochna Raat Thi ..
- Santa Sir Meri Patni Mere Saath Baahar Jaana Chahti Hai ..
- Santa Oye Murge Di Tang Kithe Aa ? Waiter Sir Murga Langda ..
- I Bought My Wife A New Car She Called And ..
- Have You Ever Seen A Monkey Wrapped In Polythene? NO??????????? OK Then ..
- दिल में एक तूफ़ान है दिल का हर कोना सुनसान ..
- This Simple SMS Travelled Through My Room The Roads Buildings Towers ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.