42हालात ये कहते हैं के ज़माने के साथ चल
आसार ये हैं के क़यामत करीब है ..
Hindi |
40Rahon ki zehmaton ka tujhe kya saboot doon
manzil mili to paon ke chhale nahi rahe..
Urdu |
12Tere ashkon mein dhal ke aaonga
ab main soorat badal ke aaonga
dekhti rahogi rasto par tum
aur main badal pe chal ke aaonga..
Urdu |
10Mere aaine mein ek shikast chehra hai
Munsif ke aas-paas ek ilzaam thehra hai
Bhanwar se jaan bachaake idhar aa gaye
Jahaan duur-duur tak bas ek sehra hai
Waar ko bhool jaayenge kisi roz, magar
Chot dil pe hai aur ghaav bhi gehra hai
Aankhon ki nami se dhundli hai nazar
Ya phir naseeb pe chhaaya kohra hai
Ab mere liye maqtal sajao
Suna hai qurbaaniyat ka anjaam sunehra hai.. - Anand HalveDetails:
shikast - defeated; Munsif - judiciary/judge; ilzaam - accusation
Bhanwar - whirlpool; Sehra - desert
Ghaav - wound
Kohra - mist, dhund
Maqtal - place of slaughter or execution
Urdu |
20Naakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya
itne hue zaleel ke khuddaar ho gaye..
Urdu |
00Tujh se bichar ke hum bhi mukaddar ke ho gaye
Phir jo bhi darr mila hai ussi darr ke ho gaye..
Urdu |
81Teri yaadein bhi tujh si zaalim hain Faraz
Jab dekhti hain tanha humein, sataane chali aati hain..
Urdu |
13तीर हमारे नाम के ले कर अवाम
शहर-ओ-तमाम घुमते हैं
ज़िन्दगी फ़ख़त तेरे नाम की
ढ़ाल से कायम है।
Hindi |
50Mujhe dard-e- ishq ka mazaa maalum hai,
Dard-e-dil ki inteha maalum hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maalum hai..
Urdu |
00Hum ko maloom the choron ke sab thikaane magar
Shareek-e-Juram na hote to mukhbari karte..
Urdu |
21Kaya hai jo rakh dain aakhiri dau mein nakad-e-jaan
Waise bhi hum ne khail yeh haara hua to hai..
Urdu |
20Kiss-se teri nazar ne sunaaye na phir kabhi
hum ne bhi dil ke daag dikhaaye na phir kabhi
ae yaad-e- dost aaj tu ji bhar ke dil dukhaa
shaayad ye raat hijr ki aaye na phir kabhi..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Har Kas Ke Hakiktash Pa Dar Shud Oo Pahan Tar Az ..
- Lamha Lamha Waqt Guzar Jaaega Thodi Der Baad Naya Varsh Aayega Advance Mein ..
- Be Ready To Revise Any System Scrap Any Method Abandon Any ..
- G Go To Bed O Off The Light O ..
- Small Things In Life Hurt A Lot Like You Can Sit ..
- कबिरा यह घर प्रेम का खाला का घर नाहि सीस उतारे ..
- Humaari Zindagi Hai Dost Ki Amaanat Rakhna Mere Khuda Sada Unko ..
- Ting Tong Open The Door Kaun? Main SMS Hun Kya Chaahiye? Ek Baat Kehni Hai Bolo Good ..
- Teacher To Banta Tell Me Five Animals Living In Water? Banta ..
- This Heart Of Mine Would Surely Die And My Body Would ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.