22झूठ वाले कहीं से कहीं बढ़ गये
और मैं था कि सच बोलता रह गया ।
– वसीम बरेलवी
Hindi |
20Ek tum ko humein yaad karne ki fursat nahi
ek hum ko tumhe bhulaane ki aadat nahi
tumhe bhulaaya bhi jaaye to kaise
sanso ke bina jeene ki aadat jo nahi..
Urdu |
10Muddat ke baad dekh kar uss shakhs ko Munir
Ek baar dil tau dharka magar phir sambhal gaya..
Urdu |
20Haath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi woh jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzre hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hain rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi
Urdu |
13Tum se bewafai ka koi gilla nahi hai
hum to faqat apna raqeeb dhoondte hain..
Urdu |
21Kaya hai jo rakh dain aakhiri dau mein nakad-e-jaan
Waise bhi hum ne khail yeh haara hua to hai..
Urdu |
62Tanhaaion mein baith kar kya sochte ho tum
hum ko bhi kuch batao pareshaan hum bhi hain..
Urdu |
10Mujrim nahi fir bhi sazaa-yaafta hun
is shehar mein gunaahgaar koi aur bhi hai..
Urdu |
61Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare,
main tujhko bhool ke zinda rahun khuda na kare..
rahega saath tera zindagi bankar,
yeh aur baat meri zindagi wafa na kare..
yeh theek hai koi marta nahi judaai mein,
khuda kisi ko kisi se magar pyaar juda na kare..
agar wafa pe bharosa rahe na duniya ko,
to koi shaks muhabbat ka hausla na kare..
suna hai unko muhabbat duaayein deti hai,
jo dil pe chot khaayein magar gila na karein..
zamaana dekh chuka hai parakh chuka hai,
'katil' jaan se jaaye magar iltajaa na kare.. - 'Katil' Shifaai
Urdu |
21Na bas me zindagi iske, na maut par kabu iska
insaan phir bhi kab khuda hone se darta hai..
Urdu |
21Isi khayal se aansoo chupaa liye humne
udaas reh ke kisi ko udaas kya karna..
Urdu |
160Bahut udaas hai koi tere jaane se
ho sake to laut aa kisi bahane se
tu lakh khafa sahi per ek baar to dekh
koi toot sa gaya tere rooth jane se..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- A Guy Sits Next To A Lady And A Dog The ..
- A Friend Is One Special Person Who Can Pull Out ..
- Bheed Itni To Nahi Thi Sheher Ke Bazaaron Mein Khone Waale ..
- Ye Kaisi Shart Lagaayi Hai Meri Aankhon Ne Ke Tujhko Sochna ..
- Ek Baccha Roz Math Teacher Ko Phone Lagata Tha Teacher S Wife ..
- Tujhe Ye Shauq Ke Mohabbat Ki Bheekh Mangoon Main Meri Ye ..
- If Lover Is Like Moon Then Friends Are Like Stars And Have ..
- Har Paase Kanak Lehraave Har Kisaan Khushiyaan Manaave Vaddnee Kanak Hun Chaddnee ..
- Sajda Hai Dil Mein Tarane Bahut Hain Zindagi Jeene Ke Bahane ..
- Teacher Told All Students In A Class To Write An Essay ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.