40Kabhi zindgi se gilla ker ke roe
kabhi maut ki hum dua ker ke roe
ajab silsila hay namaz-e- mohabbat
qaza ker ke roay, ada ker ke roay..
Urdu |
70Muddat se koi shaks rulaane nahi aaya
Jalti hui aankhon ko bujhaane nahi aaya
Kehta the hum saath jiyenge aur marenge
Ab Rooth gia hun to manaane nahi aya..
Urdu |
10Hazaaron mushkilein hain doston se door rehne mein
Magar ek faida hai peeth main khanjar nahi lagtaa..
Urdu |
30Badi aasaani se dil lagaye jaate hain,
per badi mushkil se waade nibhaaye jaate hain
le jaate hai mohaabat un rahon per
jahan diyye nahi dil jalaay jaate hain..
Urdu |
10Mere aaine mein ek shikast chehra hai
Munsif ke aas-paas ek ilzaam thehra hai
Bhanwar se jaan bachaake idhar aa gaye
Jahaan duur-duur tak bas ek sehra hai
Waar ko bhool jaayenge kisi roz, magar
Chot dil pe hai aur ghaav bhi gehra hai
Aankhon ki nami se dhundli hai nazar
Ya phir naseeb pe chhaaya kohra hai
Ab mere liye maqtal sajao
Suna hai qurbaaniyat ka anjaam sunehra hai.. - Anand HalveDetails:
shikast - defeated; Munsif - judiciary/judge; ilzaam - accusation
Bhanwar - whirlpool; Sehra - desert
Ghaav - wound
Kohra - mist, dhund
Maqtal - place of slaughter or execution
Urdu |
00Theher-theher ki bahut dilkusha hai yeh manzar,
zaraa main dekh to lu taabnaki-e-shamsheer..
- IqbalDetails:
taabnaki-e-shamsheer - shine of sword (talwaar ki chamak)
Urdu |
00Hum ko maloom the choron ke sab thikaane magar
Shareek-e-Juram na hote to mukhbari karte..
Urdu |
11Isi khayal se aansoo chupaa liye humne
udaas reh ke kisi ko udaas kya karna..
Urdu |
20Koi ye Faraz poochhe yeh junoon nahi to kiya hai
Ke usi ke ho ke reh gaye jo na ho saka humara..
Urdu |
130Tamaam umar mein har azaan ke baad
ik imtihaan se guzri hun main har imtihaan ke baad
khuda kare ke kahien aur gardish-e-takdeer
kise ka ghar na ujre mere makaan ke baad..
Urdu |
50Mujhe dard-e- ishq ka mazaa maalum hai,
Dard-e-dil ki inteha maalum hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maalum hai..
Urdu |
22दिल खुश हुआ है मस्जिद-ए-वीरां को देख कर,
मेरी तरह खुदा का भी खाना खराब है..
- अब्दुल हमीद अदम
Hindi |
♥ Recommended for You »
- बहुत मुश्किल है निभाना दस्तूर ए ज़िन्दगी कुछ तुम कोशिश करो ..
- Bahut Khoobsurat Hoti Hain Vo Bachpan Ki Yaadein Khuda Mujhe Le Chale ..
- Just Think If It Weren T For Marriage Men Would Go Through ..
- Theher Theher Ki Bahut Dilkusha Hai Yeh Manzar Zaraa Main Dekh To ..
- Insan Ko Bolna Seekhne Mein 2 Saal Lagte Hain Lekin Kya ..
- A Balanced Diet Is Chocolate In Both Hands ..
- We Know Accurately Only When We Know Little With Knowledge Doubt ..
- इन दूरियों को मिटाने की जुस्तजू ना कर इक और जुदाई ..
- I May Be Fat But You Re Ugly I Can ..
- Tum Chaand Ho Jise Sab Yaad Karte Hain Humaari Kismat To ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.