20Maikhane mein jaam toot jata hai
ishq mein dil toot jaat hai
na jane kya rishta hai dono mein
jaam toote to ishq yaad aata hai
dil toote to jaam yaad aata hai..
Urdu |
71Jab log hi jazbon ki touqeer nahi kerte
hum bhi koi dukh apna tehreer nahi kerte
dil cheer jaata hai lehje ka ye rookha-pan
karti hai zubaan wo kuch jo teer nahi karte..
Urdu |
10Saath chalte kafile se is liye gafil raha,
manzilon ke baad bhi koi meri manzil raha.
woh masiha tha ya katil ya bewafa,
woh har ek surat mein pyaar ke kabil raha.
us se izhar-e- mohabbat kar na paye lab kabhi,
ek jara sa kaam tha umar bhar mushkil raha.
aap isko kya kahenge behisi ya badkismati,
doobne wale ke bilkul samne sahil raha.
ek mohabbat de na paya de gaya sau gham humein,
woh mera mehboob bhi kya dariya dil raha.Details:
Gafil - negligent/careless
Urdu |
10Halaat mere mujhse na maaloom kijiye,
muddat hui hai mujhse mera wasta nahi..
Urdu |
20हवा के साथ उड़ गये घर परिंदे का,
- Ali
कैसे बना था घोसला वो तूफान क्या जाने..
Hindi |
10Na pooch kitna lutf in musafaton mein hai
tera ghar ab bhi mere raston mein hai
sardiyon ki raat mein woh chaand dekhna
teri pasand ab bhi meri aadaton mein hai..
Urdu |
13Is saadgi pe kaun na marr jaaye ae khuda
ladte hain aur haath mein talwar bhi nahin..
Hindi |
00Duniya ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke..
Urdu |
110Udasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
woh chaahta to mere saath chal bhi sakta tha,
woh shakhs ke jise tu ne, chhorrne mein jaldi ki,.
tere mizaaj ke saanche mein dhal bhi sakta tha,
woh jald-baaz khafa ho ke chal dia werna,
tamam maslon ka koi hal nikal bhi sakta tha,
anaa ne haath uthaane hi na diye werna,
meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha,
tamaam umer tera muntazir raha woh ek shaks,
yeh aur baat ki woh rassta badal bhi sakta tha..
Urdu |
81Hum dushmano ko bhi Pakeeza saza dete hein
Haath uthate nahi, nazron se Gira dete hein..
Urdu |
10Na jane kyon raet ki tarha nikal jaate hain haathon se woh log
Jin ko hum zindagi samajh kar kabhi khona nahi chaahte..
Urdu |
20Mushkil kahan thay tark-e-taaluq ke marhalay
Ae dil sawaal magar teri zindagi ka tha..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- A Kind Word And Gun Gets You More Than A ..
- Maang Kabhi Ulfat Mein Jaan Bhi Humse Hum Teri Kisi Baat ..
- Mita De Apni Hasti Ko Agar Kuchh Martabaa Chaahiye Ki Daanaa ..
- Why Smart People Always Say They Are Busy? Think I Will Tell ..
- Congratulations SMS Na Karne Par Apko MBA Ki Degre Di Jati Hai MBA ..
- Ek Conductor Ki Shadi Ho Rahi Thi Jab Dulhn Phero Ke ..
- Maine Poocha Chand Se Ke Dekha Hai Khain Mere Yaar Sa ..
- Har Koi Pyaar Ke Liye Tadapta Hai Har Koi Pyaar Ke ..
- Be Grateful That You Don T Have Everything You Want So That ..
- मेरे ज़हन के शोर ओ गुल ने तेरा अहल ए कलाम सुनने न दिया ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.