00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
![mani_46_shayari.jpg mani_46_shayari.jpg](/sms/new/img/mani_46_shayari.jpg)
00Muhabbatein kabhi zanjeer-e-paa nahi hoti
na chal sako jo ikkatthe to bichhar jaao doston ki tarha..
Urdu |
20Aksar woh meri nazm ka unwaan raha hai
lekin woh meri mohabbat se anjaan raha hai
kuch kaha na kabhi is dar se ki bura maan na jaye
magar woh ab isii baat ka bura maan raha hai..
Urdu |
00Theher-theher ki bahut dilkusha hai yeh manzar,
zaraa main dekh to lu taabnaki-e-shamsheer..
- IqbalDetails:
taabnaki-e-shamsheer - shine of sword (talwaar ki chamak)
Urdu |
00Yun na mil mujhse khafa ho jaise,
saath chal mauj-e-darya ho jaise
Log yun dekh kar hansi dete hain,
tu mujhe bhool gaya ho jaise
Ishq ko sherek ki had tak na badha,
yun na mil humse jaise ho khuda
Maut bhi aai to iss naaz ke saath,
mujh pe kia ho ehsaan jaise
Aise anjaan bane baithe ho,
tum ko kuch bhi na pata ho jaise
Hichkiyaan raat ko aati hi hain,
tune phir yaad kiya ho jaise
Zindagi beet rihi ha daalish,
ek be-jurm saza ho jaise..
Urdu |
![mani_47_shayari.jpg mani_47_shayari.jpg](/sms/new/img/mani_47_shayari.jpg)
41Main neend ka shaukeen toh nahi, lekin
kuch khwaab na dekhu toh guzaara nahi hota..
Hindi |
71ज़रुरत है मुझे कुछ नए नफरत करने वालों की,
पुराने तो अब चाहने ♡ लगे हैं..
Hindi |
20Tum aankhon ki barsaat bachaaye hue rakhna,
kuch log abhi aag lagaana nahi bhoole,
yeh baat alag, haath kalam ho gaye apne,
hum apni tasveer banaana nahi bhoole,
hum apne buzurgon ka zamaana nahi bhoole,
dushman ko bhi seene se lagaana nahi bhoole,
ik umar hui main to hansi bhool chuka hun,
tum ab bhi mere dil ko dukhaana nahi bhoole..
Hindi |
30Nikalna khuld se Adam ka sunte aaye the lekin
Bade beabru hokar tere kuche se ham nikle.. - Mirza Asadullah Khan Ghalib
Urdu |
40Fareb tha hasi mein aashiqi samajh baithe
maut ko hi apni zindagi samajh baithe
waqt ka mazaak tha ya badnasibi humari
uski do baaton ko hi chahat samajh baithe..
Urdu |
40Chalti hai ab to saans bhi is ehtiyaat se
jaise guzar rahi ho kisi pul siraat se..
Urdu |
![shayari.jpg shayari.jpg](/sms/new/img/shayari.jpg)
00Wo ashak ban ke meri chasm-e-tar mein rehte hain
Ajeeb shaks hain paani ke ghar mein rehte hain..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Subah Hote Hi Jab Dunia Aabaad Hoti Hai Aankh Khulte Hi ..
- समझ आना और समझाना मुश्किल है नेक बन्दों की ज़रुरत ख़ुदा ..
- Raj Meet My Wife Divya Sunil Oh I Know Her Raj Know ..
- Yeh Duniya Bhi Kamaal Hai Kuch Log Khush Rehna Seekh Hi ..
- Some Of The Best Moments Of Life Lying On The Bed ..
- Khaa Ke Gujiya Pee Key Bhaang Laga Ke Thoda Thoda Sa ..
- A Rainbow Would Be Considered Even More Beautiful If It ..
- उन्हें तो फुरसत नहीं मिलने ..
- एक बीज़ इतना गंदा निकला कि कैलाश को भी सरमा ..
- In The Book Of Life The Answers Aren T In The Back ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.