30Kabhi fasl, kabhi marz ban ke aaye
yun badal-badal ke soorat, sitam aaye
shiddat-o-suku'n se seencha har boota humne
jaane fir kyun na gul aaye..
Urdu |
10Hum charagh-e-shub hi jab thehre to phir kia sochna
raat thi kiss ka muqaddar aur sahar dekhega kaun
har koi apni hawa mein mast firta hai Faraz
is shehr-e-napursaan mein teri chashm-e-nam dekhega kaun..
Urdu |
20Mohabaat mukkadar hai ek khwab nahi
yeh wo adaa hai jis mein sab kaam-yaab nahi
jinhe panaah mili ungliyo pe gin lo unhe
jo katal hue unka kuch hisaab nahi..
Urdu |
00हम ना होते तो किसी और के चर्चे होते ,
हलक़त-ए-शहर तो कहने को फ़साने मांगे ..
- अहमद फ़रज़
Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey,
Halqat*-e-sheher to kehn e ko fasaaney mangey..
- Ahmed Faraz
Hindi |
00Pehlu mein yaar, haath mein jaam sharab ho
Itna bhi aasman ko nahi hai samaa pasand.. - Saba Lakhnavi
Urdu |
51Mujhe giley hain mujhpe bharosa nahi usey
ye soch kar humne bhi to roka nahi usey
woh shaks kabhi chand sitaron se yeh pooche
hai kaun si woh raat jab socha nahi usey
alfaz teer ban ke utarte rahe dil mein
sunte rahi chup-chap hi toka nahi usey
sagar yeh mohabbat nahi asul-e-wafa hai
hum jaan to denge magar dhoka nahi tumhe..
Urdu |
61मदहोश मत करो मूझे अपना चेहरा दिखा कर.
- Ranjit
मोहब्बत अगर चेहरे से होती तो खूद़ा दिल ना बनाता..!
Hindi |
10Mera hunar to meri jus-ta-ju mein rehta hai
ajab azaab-e-safar hai lahoo mein rehta hai
kisi ko dekho to meezan-e-harf mein par-kho
nasab ka wazn to har guf-ta-gu mein rehta hai..
Urdu |
01Kuch aise dost meri nighah mein hain qatil
ke mujh ko jis se baaz rakhein khud usi pe marte hain..
Urdu |
10Rang kuch shokh se tasveer mein bhar kar dekho
zindagi shokh hai is shokh pe mar kar dekho
kitna pyara hai jahan kitni hasin hai ye hayat
dil ki jaanib bhi zara ek nazar kar dekho..
Urdu |
20वो कहते हैं की हम उनकी झूठी तारीफ़ करते हैं
- Reshma
ऐ खुदा बस एक दिन के लिए आईने को ज़ुबान दे दे ..
Hindi |
65हवा का काम है जलते चिरागों को बुझाने का,
हमारा फर्ज है अंधियारे में दीपक जलाने का,
हमें महसूस करना हो तो आंखें बंद कर लेना,
पता कुछ भी नहीं होता फकीरों के ठिकाने का
- दीपक गुप्ता, फरिदाबाद (हरियाणा)
Hindi |
♥ Recommended for You »
- Forgive And Forget ..
- Biwi Mujhe Samajh Nahi Aata Paisae Kahan Rakhun Jahan Chupati Hun ..
- अगर एक प्राइवेट कंपनी हर तिमाही अपनी आय का लेखा ..
- We Don T Always Need An Advice Sometimes All We Really Need ..
- कुर्बानियां ज़ाया ना होंगी उमर फयाज और रमज़ान की चंद ..
- झूम झूम कर मैं भी गाता वफ़ा का हमारी अगर कोई ..
- Laal Gulaabi Rang Hai Jhoom Rahaa Sansaar Hai Suraj Ki Kirne Khushiyon ..
- I Learned Long Ago Never To Wrestle With A Pig You ..
- A Bully Is Always A Boss Be It School Or Office ..
- भविष्य भविष्यवाणियों से नहीं होता और हवाओं के रुख भीड़ ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.