00Maut ek manzar hai jise hum dekh sakte hain aur
ziindagi ek ehsas hai jise hum jee sakte hain
magar zindagi aur maut mein ek fi farq hota hai
maut mein to insan sota hai
aur zindagi mein umar bhar rota hai..
Hindi |
80Woh humein bhoolane ki baat karte hain,
zaraa poocho woh humein kab yaad karte hain,
jo karte the kabhi humse pyaar hone ka daava..
aaj akele rehne ki baat karte hain.
Hindi |
70Guzraa waqt jab bhi dil ki daastaan sunaayega,
tumko bhi ik shaks yaad aayega,
gaur se dekhna zindagi ke panno ko
kahin na kahin to humaara naam bhi nazar aayega..
Hindi |
74Ek dil mere dil ko zakhm de gayaa,
zindagi bhar jeene ki kasam de gayaa,
laakhon mein ek chuna humne jise..
woh kaanto se bhari chubhan de gayaa.
Hindi |
80Dil ko aata hai jab khayaal unka,
tasveer se poochte hain phir haal unka,
woh kabhi humse poocha karte the ki judaai kya hai..
aaj samajh mein aaya sawaal unka.
Hindi |
13Pyaar karo, Pyaar ki koi hadh nahi hoti,
do dilo ke beech sarhad nahi hoti,
dilruba ko to sabhi chaahte hain,
bewafa ko chaahne ki kismat sabki nahi hoti.
Hindi |
33Aap khafa ho gaye to koi khushi na rahegi,
aap ke bina chiraago mein roshni na rehegi,
kya kahein kya guzregi dil par,
zinda to rahenge par zindagi na rahegi.
Hindi |
413Dil ne kaha aankh se:
Dekha karo kam, kyonki dekhte ho tum, tadapte hain hum.
Aankh ne kaha dil se:
Socha karo kam, kyunki sochte ho tum, rote hain hum.
Hindi |
42Har dil mein dard chupa hota hai,
bayaan karne ka andaaz juda hota hai,
kuch ashqon mein dard ko baha dete hain..
aur kisi ki hansi mein bhi dard chupa hota hai.
Hindi |
80Vishwaas ban kar ke log zindagi mein aate hain,
khwaab banke aankhon mein samaa jaate hain,
pehle to yeh yakeen dilaate hain ke woh humaare hain,
fir na jaane kyon tanha chhod jaate hain.
Hindi |
52Dilo se khelne ka hunar hame nahi aata
isliye ishq ki baazi hum haar gaye.
Meri zindagi se shaayad unhe pyaar tha
isliye mujhe zinda hi maar gaye.
Hindi |
20Shaam-e-samandar, gham-e-vasl aur tanhaai,
dil ko teri yaad aa na jaaye..
Ret par reh na jaaye koi baaki nishaa,
chaand mein teri surat nazar aa na jaaye..
Giraft-e-bekhudi se hi kaayam hai maikadaa saare,
diljalo ki basti mein dilnasheen aa na jaaye..
Haayat ki ungaliyon par naachte hain hum,
guroor-e- naseeb zehen mein ab aa na jaaye..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Karni Hai Khuda Se Ek Guzaarish Ki Teri Dosti Ke Siva ..
- Aankhon Mein Rehne Waalon Ko Yaad Nahi Karte Dil Mein Rehne ..
- जैसे मधुमक्खी बिना तकलीफ पहुंचाए फूलों से मधु निकाल लेती ..
- स्याही छू कर कुछ भी आड़ा तिरछा ग़ुब्बारे देख ..
- New Punishment For Mobile Owners Missed Call Karne Ke Liye Kaala ..
- H_NDU MUSL_M S_KH CHR_ST_AN S_NDH PUNJAB_ See How We Lose ..
- Those Who Know Do Not Speak Those Who Speak Do Not ..
- अक्सर लोगों के मोबाइल चोरी हो जाते हैं या फिर ..
- The Ups & Down In Life Are Also Very Important ..
- What Do You Call A Sleeping Bean ? SOYA BEAN ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.