40Har ek jazbaat ko zubaan nahi milti,
har nek aarzoo ko dua nahi milti,
muskaan sajaaye rakho to duniya hai saath..
aansu ko to aankh mein bhi panaah nahi milti.
Urdu |
194पैरों में छाले लिए
उस आग सी सड़क पर
नन्ही इक जान को सीने से लगा
माँ पैदल चलती रही
समंदर से उठते तूफ़ान
बसों में बैठ कर नहीं आते ..
Hindi |
146Bukkaan wich nahi paani rehnde,
jadon baddal meeh varsaaunde ne,
aksar bhul jaaunde ne oh,
jehre bahuta pyaar jataaunde ne.
Punjabi |
30Ghaav itne gehre hain bayaan kya karein,
hum khud nishana ban gaye waar kya karein,
jaan nikal gayi magar khuli rahi aankhen,
ab iss see zyada unka intezaar kya karein..
Hindi |
80Waqt guzrega hum bikhar jaayenge,
kaun jaane ki hum kidhar jaayenge,
hum to ek parchaai hain,
yaad rakhna dost jahaan tanhaai mili
wahaa hum nazar aayenge..
Hindi |
41Apne matlab ke alaawa kaun kisi ko poochta hai,
bina rooh ka insaan toh ghar wale bhi nahi rakhte.
Bahut hi mushqil se hota hai teri yaadoon ka kaarobaar,
munaafa to nahi lekin guzaara ho hi jaata hai..
Khudaa karey ki saari umar mujhey manzil na miley ,
badi mushqil se woh raazi hua hai saath chalne ko..
Hindi |
21Sunte hai ki mill jaati hai har cheez duwa se,
ek roz tumhe mang ke dekhenge khuda se !
Tum samne baithe ho to hai kaif ki barish,
woh din bhi the jab aag barsti thi ghata se !
Aai dil tu unhe dekh kar kuchh aise tadppna,
aa jaye hashi unko jo baithe hai khapha se.
Duniya bhi mili hai gamme Duniya bhi mila hai,
woh kiyon nahi milla jise manga tha khuda se,
Jab kuchh na mila hath duwao ko utha kar,
fir hath uthane hi pade humko duwa se .....!
Urdu |
245Likho to paigaam kuch aisa likho ki,
kalam rone pe majboor ho jaaye..
har lafz mein dard bhar do itna ki,
padhne waala pyaar karne ko majboor ho jaaye.
Urdu |
41Sharaarat na hoti..shikaayat na hoti,
naino mein kisi ke nazaakat na hoti,
na hoti beqaraari..na hote hum tanha,
jo jahaan mein kambakht yeh mohabbat na hoti..
na hote yeh sapne..yeh khawaabon ki duniya ,
kisi ko chaahat ki tamanna na hoti,
na zulfon ki chaaon..na phoolon ki khushboo,
yaadon mein unki yeh raatein na kat-ti,
jo na hoti mohabbat to yeh aansu na hote,
dil bhi na khota..aaj tanha na rota,
deewano si apni yeh haalat na hoti,
jo jahaan mein kambakht yeh mohabbat na hoti..
Hindi |
50Kash mere bas mein bhi hota tujh se ghafil ho jana,
hum bhi sukoon se rehte be-khabar teri tarah..Details:
Gafil - negligent/careless
Urdu |
20Mehfil-e-jahaan se yun ruksat hue woh
ke ab kis chiraag se shab-e-roshan ho..
Urdu |
71Aansu bin aankhein itni khubsurt na hoti,
dard bin khushi ki keemat na hoti,
agar mil jata koi chahne se,
to dunia mein khuda ki zaroorat na hoti..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- There Will Be Times When You Are Put To Test When Someone ..
- Joy Is Not A Horse You Cannot Harness It Chinese ..
- No Man Is Truly Married Until He Understands Every Word His Wife ..
- Person Always SMILING Doesn T Mean That He Has No Problems But Smile ..
- Bholu Pandit Ji Meri Shaadi Nahi Ho Rahi Hai Koi Upaaye ..
- Hands In Hands Walk An Extra Mile Remember On This Earth ..
- A Teacher Fails When His Students Leave The Will To Study ..
- दादाजी के कम्बल में छुपकर आँख मिचोली होती थी ..
- Patient Kya Lambi Umar Ka Koi Nuska Hai ? Doctor Shadi Kar ..
- Humein Mohabbat Ki Nazar Se Na Dekho Humein Mohabbat Ki Nazar ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.